الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ اسْتِئْجَارِ الرَّجُلِ الصَّالِحِ:
Bab: Kisi bhi nek mard ko mazdoori par lagana.
Show diacritics
Hadith Number: Q2260
وقول الله تعالى: إن خير من استاجرت القوي الامين سورة القصص آية 26، والخازن الامين، ومن لم يستعمل من اراده.
Aur Allah Ta'ala ka ye farmana ke accha mazdoor jis ko tu rakkhe wo hai jo zor-dar, amanat-dar ho, aur amanat-dar khazanchi ka sawab aur is ka bayan ke jo shakhs hukoomat ki darkhwast kare is ko hakim na banaya jaye
.


Show diacritics
Hadith Number: 2260
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن ابي بردة، قال: اخبرني جدي ابو بردة، عن ابيه ابي موسى الاشعري رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الخازن الامين الذي يؤدي ما امر به طيبة نفسه احد المتصدقين".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, un se Abu Burdah Yazid Bin Abdullah ne kaha ke mere dada, Abu Burdah Aamir ne mujhe khabar di aur unhein un ke baap Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, amanat-dar khazanchi jo is ko hukum diya jaye, us ke mutalliq dil ki farakhi ke sath (sadaqah ada kar day) wo bhi ek sadaqah karne walon hi mein se hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2261
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن قرة بن خالد، قال: حدثني حميد بن هلال، حدثنا ابو بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال: اقبلت إلى النبي صلى الله عليه وسلم ومعي رجلان من الاشعريين، فقلت: ما عملت، انهما يطلبان العمل، فقال:" لن، او لا نستعمل على عملنا من اراده".
Hum se Musaddad ne bayan kiya kaha ke hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Qurrah Bin Khalid ne kaha ke mujh se Humaid Bin Hilal ne bayan kiya, un se Abu Burdah ne bayan kiya aur un se Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) ne ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aya. Mere sath (mere qabeela) Ashar ke do mard aur bhi thay. Mein ne kaha ke mujhe nahi maloom ke ye donon sahiban hakim banne ke talab-gar hain. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo shakhs hakim banne ka khud khwahish-mand ho, ise hum hargiz hakim nahi banayenge. (Yahan rawi ko shak hai ke) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne lafz «لن» ya lafz «لا» istemal farmaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رَعْيِ الْغَنَمِ عَلَى قَرَارِيطَ:
Bab: Chand qeeraat ki mazdoori par bakriyan charana.
Show diacritics
Hadith Number: 2262
حدثنا احمد بن محمد المكي، حدثنا عمرو بن يحي، عن جده، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما بعث الله نبيا إلا رعى الغنم، فقال اصحابه: وانت؟ فقال: نعم، كنت ارعاها على قراريط لاهل مكة".
Hum se Ahmad Bin Muhammad Makki ne bayan kiya, kaha ke hum se Amr Bin Yahya ne bayan kiya, un se un ke dada Saeed Bin Amr ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Ta'ala ne koi aisa nabi nahi bheja jis ne bakriyan na charayi hon. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahaba Ridwanullahi Alaihim ne poocha kya Aap ne bhi bakriyan charayi hain ? Farmaya ke han! kabhi mein bhi Makkah walon ki bakriyan chand qiraat ki tankhwah par charaya karta tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِئْجَارِ الْمُشْرِكِينَ عِنْدَ الضَّرُورَةِ أَوْ إِذَا لَمْ يُوجَدْ أَهْلُ الإِسْلاَمِ:
Bab: Jab koi muslim mazdoor na mile to zaroorat ke waqt mushrikon se mazdoori karane ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q2263
وعامل النبي صلى الله عليه وسلم يهود خيبر.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Khaibar ke Yahoodiyon se kaam liya (un se batayi par muamla kiya tha)
.


Show diacritics
Hadith Number: 2263
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها،"واستاجر النبي صلى الله عليه وسلم وابو بكر رجلا من بني الديل، ثم من بني عبد بن عدي هاديا خريتا، الخريت الماهر بالهداية، قد غمس يمين حلف في آل العاص بن وائل وهو على دين كفار قريش فامناه، فدفعا إليه راحلتيهما وواعداه غار ثور بعد ثلاث ليال، فاتاهما براحلتيهما صبيحة ليال ثلاث، فارتحلا وانطلق معهما عامر بن فهيرة والدليل الديلي، فاخذ بهم اسفل مكة وهو طريق الساحل".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum ko Hisham Bin Urwah ne khabar di, unhein Maamar ne, unhein Zuhri ne, unhein Urwah Bin Zubair ne aur unhein Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne (hijrat karte waqt) Banu Deel ke ek mard ko naukar rakkha jo Banu Abd Bin Adi ke khandan se tha. Aur ise batur-e-mahir rahbar mazdoori par rakkha tha (hadees ke lafz) «خريت» ke maani rahbari mein mahir ke hain. Us ne apna hath pani waghairah mein dubo kar Aas Bin Wail ke khandan se ahad kiya tha aur wo kuffar-e-Quraish hi ke deen par tha. Lekin Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ko is par bharosa tha. Isi liye apni sawariyan unhon ne ise day deen aur Ghar-e-Saur par teen raat ke baad is se milne ki takeed ki thi. Wo shakhs teen raaton ke guzarte hi subah ko donon hazrat ki sawariyan lay kar wahan hazir ho gaya. Is ke baad ye hazrat wahan se Aamir Bin Fuhairah aur is Deeli rahbar ko sath lay kar chale. Ye shakhs sahil ke kinare se Aap ko lay kar chala tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا اسْتَأْجَرَ أَجِيرًا لِيَعْمَلَ لَهُ بَعْدَ ثَلاَثَةِ أَيَّامٍ أَوْ بَعْدَ شَهْرٍ أَوْ بَعْدَ سَنَةٍ جَازَ، وَهُمَا عَلَى شَرْطِهِمَا الَّذِي اشْتَرَطَاهُ إِذَا جَاءَ الأَجَلُ:
Bab: Koi shakhs kisi mazdoor ko is shart par rakhe ke kaam teen din ya ek mahina ya ek saal ke baad karna ho ga to jaiz hai aur jab woh muqarrara waqt aa jaye to dono apni shart par qaim rahen ge.
Show diacritics
Hadith Number: 2264
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، قال ابن شهاب: فاخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة رضي الله عنها، زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" واستاجر رسول الله صلى الله عليه وسلم وابو بكر رجلا من بني الديل هاديا خريتا وهو على دين كفار قريش، فدفعا إليه راحلتيهما وواعداه غار ثور بعد ثلاث ليال براحلتيهما صبح ثلاث".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Aqeel ne ke Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Urwah Bin Zubair ne khabar di aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki biwi Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne Banu Deel ke ek mahir rahbar se mazdoori taye kar li thi. Wo shakhs kuffar-e-Quraish ke deen par tha. In donon hazrat ne apni donon oontniyan us ke hawale kar di theen aur keh diya tha ke teen raaton ke baad subah sawere hi sawaron ke sath Ghar-e-Saur par aa jaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الأَجِيرِ فِي الْغَزْوِ:
Bab: Jihad mein kisi ko mazdoor kar ke le jana.
Show diacritics
Hadith Number: 2265
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا إسماعيل بن علية، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، عن صفوان بن يعلى، عن يعلى بن امية رضي الله عنه، قال:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم جيش العسرة، فكان من اوثق اعمالي في نفسي، فكان لي اجير، فقاتل إنسانا فعض احدهما، إصبع صاحبه فانتزع إصبعه فاندر ثنيته فسقطت، فانطلق إلى النبي صلى الله عليه وسلم فاهدر ثنيته، وقال: افيدع إصبعه في فيك تقضمها، قال: احسبه قال: كما يقضم الفحل".
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha ke hum se Ismail Bin Aliyyah ne bayan kiya, kaha ke humein Ibn Jurayj ne khabar di, kaha ke mujhe Ata Bin Abi Rabah ne khabar di, unhein Safwan Bin Yaali ne, un ko Yaali Bin Umayyah (Radi Allahu Anhu) ne, unhon ne kaha ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Jaish-ul-Usrah (Ghazwa-e-Tabook) mein gaya tha ye mere nazdeek mera sab se ziyada qabil-e-aitimad naik amal tha. Mere sath ek mazdoor bhi tha wo ek shakhs se jhagrah aur un mein se ek ne doosre muqable wale ki ungli chaba dali. Doosre ne jo apna hath zor se kheencha to us ke aage ke dant bhi sath hi kheencha chale aaye aur gir gaye. Is par wo shakhs apna muqadma lay kar Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir pahuncha. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne us ke dant (tootne ka) koi qisas nahi dilwaya. Balkay farmaya ke kya wo ungli tumhare munh mein chabane ke liye chhor deta. Rawi ne kaha ke mein khayal karta hoon ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne yun bhi farmaya. Jis tarah oont chaba liya karta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2266
قال ابن جريج: وحدثني عبد الله بن ابي مليكة، عن جده بمثل هذه الصفة، ان رجلا عض يد رجل، فاندر ثنيته، فاهدرها ابو بكر رضي الله عنه.
Ibn Jurayj ne kaha aur mujh se Abdullah Bin Abi Mulaikah ne bayan kiya aur un se un ke dada ne bilkul isi tarah ka waqia bayan kiya ke ek shakhs ne ek doosre shakhs ka hath kaat khaya. (Doosre ne apna hath kheencha to) us kaatne wale ka dant toot gaya aur Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne is ka koi qisas nahi dilwaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اسْتَأْجَرَ أَجِيرًا فَبَيَّنَ لَهُ الأَجَلَ وَلَمْ يُبَيِّنِ الْعَمَلَ:
Bab: Ek shakhs ko ek miyad ke liye naukar rakh lena aur kaam bayan na karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q2267
لقوله: {إني اريد ان انكحك إحدى ابنتي هاتين} إلى قوله: {على ما نقول وكيل} ياجر فلانا يعطيه اجرا، ومنه في التعزية اجرك الله.
Surah Al-Qasas mein Allah Ta'ala ne (Shuayb Alaihis Salam ka qaul yun) bayan farmaya hai ke «إني أريد أن أنكحك إحدى ابنتى هاتين» ”Mein chahta hoon ke apni in do larkiyon mein se kisi ka tum se nikah kar doon“ aakhir ayat «على ما نقول وكيل» tak. Arabon ke han «يأجر فلانا» bol kar murad hota hai, yani falan ko wo mazdoori deta hai. Isi lafz se mushtaq taziyat ke mauqe par ye lafz kehte «أجرك الله» (Allah tujh ko is ka ajr ata kare)
.