الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ لاَ صَدَقَةَ إِلاَّ عَنْ ظَهْرِ غِنًى:
Chapter. The wealthy only are required to give in charity.
Hadith Number: Q1426
ومن تصدق وهو محتاج او اهله محتاج او عليه دين، فالدين احق ان يقضى من الصدقة والعتق والهبة وهو رد عليه ليس له ان يتلف اموال الناس، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: من اخذ اموال الناس يريد إتلافها اتلفه الله إلا ان يكون معروفا بالصبر فيؤثر على نفسه، ولو كان به خصاصة كفعل ابي بكر رضي الله عنه حين تصدق بماله وكذلك آثر الانصار المهاجرين، ونهى النبي صلى الله عليه وسلم عن إضاعة المال فليس له ان يضيع اموال الناس بعلة الصدقة"، وقال كعب بن مالك رضي الله عنه: قلت يا رسول الله: إن من توبتي ان انخلع من مالي صدقة إلى الله وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم؟ , قال: امسك عليك بعض مالك فهو خير لك"، قلت: فإني امسك سهمي الذي بخيبر.
Aur jo shakhs khairat kare ke khud muhtaj ho jaye ya us ke baal bacche muhtaj hon (to aisi khairat durust nahi) isi tarah agar qarzdar ho to sadqa aur aazadi aur hiba par qarz ada karna muqaddam ho ga aur us ka sadqa us par pher diya jaye ga aur us ko yeh durust nahi ke (qarz na ada kare aur khairat de kar) logon (qarz khwahon) ki raqam tabah kar de aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs logon ka maal (bataur qarz) talaf karne (yani na dene) ki niyat se le to Allah us ko barbad kar de ga . Albatta agar sabr aur takleef uthane mein mash'hoor ho to apni khaas haajat par (faqeer ki haajat ko) muqaddam kar sakta hai . Jaise Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne apna saara maal khairat mein de diya aur isi tarah Ansar ne apni zaroorat par Muhajireen ki zarooriyat ko muqaddam kiya . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne maal ko tabah karne se mana farmaya hai to jab apna maal tabah karna mana hua to paraye logon ka maal tabah karna kisi tarah se jaiz na ho ga . Aur Kaab bin Malik ne (jo jang-e-Tabook se peeche reh gaye thay) arz ki Ya Rasool Allah! Main apni tauba ko is tarah poora karta hoon ke apna saara maal Allah aur Rasool par tasadduq kar doon . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi kuch thora maal rehne bhi de woh tere haq mein behtar hai . Kaab ne kaha bahut khoob main apna Khaibar ka hissa rehne deta hoon .
Hadith Number: 1426
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري , قال: اخبرني سعيد بن المسيب، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" خير الصدقة ما كان عن ظهر غنى وابدا بمن تعول".
Hum se Abdan ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ unhein Yunus ne , unhein Zuhri ne , unhon ne kaha mujhe Saeed bin Musayyab ne khabar di ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya behtareen khairat woh hai jis ke dene ke baad aadmi maaldar rahe . Phir sadqa pehle unhein do jo tumhari zair-e-parwarish hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1427
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه، عن حكيم بن حزام رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" اليد العليا خير من اليد السفلى، وابدا بمن تعول، وخير الصدقة عن ظهر غنى، ومن يستعفف يعفه الله، ومن يستغن يغنه الله".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hisham bin Urwah ne apne baap se byaan kiya ‘ un se Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya oopar wala haath neeche wale haath se behtar hai aur pehle unhein do jo tumhare baal bacche aur azeez hain aur behtareen sadqa woh hai jisay de kar aadmi maaldar rahe aur jo koi sawal se bacchna chahe ga usay Allah Ta'ala bhi mehfooz rakhta hai aur jo doosron (ke maal) se be-niyaz rehta hai ‘ usay Allah Ta'ala be-niyaz hi bana deta hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1428
Aur Wuhaib ne byaan kiya ke hum se Hisham ne apne walid se byaan kiya ‘ un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa hi byaan farmaya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1429
حدثنا ابو النعمان , قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال وهو على المنبر:" وذكر الصدقة , والتعفف , والمسالة اليد العليا خير من اليد السفلى، فاليد العليا هي المنفقة، والسفلى هي السائلة".
Hum se Abu Nu'man ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya ‘ un se Ayub ne ‘ un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke maine Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna . (Doosri sanad) aur hum se Abdullah bin Maslamah ne byaan kiya ‘ un se Malik ne ‘ un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab ke Aap mimbar par tashreef rakhte thay . Aap ne sadqa aur kisi ke saamne haath na phailane ka aur doosron se mangne ka zikr farmaya aur farmaya ke oopar wala haath neeche wale haath se behtar hai . Oopar ka haath kharch karne wale ka hai aur neeche ka haath mangne wale ka .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة