الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ مَا جَاءَ فِي قَبْرِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَبِي بَكْرٍ وَعُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا:
Chapter. What is said regarding the graves of the Prophet ﷺ, Abu Bakr, and Umar.
Hadith Number: Q1389
وابي بكر وعمر رضي الله عنهما , قول الله عز وجل: فاقبره اقبرت الرجل اقبره إذا جعلت له قبرا وقبرته دفنته كفاتا يكونون فيها احياء ويدفنون فيها امواتا.
Aur Surah Abas mein jo aaya hai «fa aqbarahu» to Arab log kehte hain «aqbartur rajula» «aqbarahu» yani maine us ke liye qabr banayi aur «qabartuhu» ke maani maine usay dafan kiya aur Surah Al-Mursalat mein jo «kifaata» ka lafz hai zindagi bhi zameen hi par guzaro ge aur marne ke baad bhi isi mein dafan honge
Hadith Number: 1389
حدثنا إسماعيل، حدثني سليمان، عن هشام. ح وحدثني محمد بن حرب، حدثنا ابو مروان يحيى بن ابي زكرياء، عن هشام، عن عروة، عن عائشة , قالت:" إن كان رسول الله صلى الله عليه وسلم ليتعذر في مرضه، اين انا اليوم؟، اين انا غدا استبطاء ليوم عائشة؟، فلما كان يومي قبضه الله بين سحري ونحري ودفن في بيتي".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Sulayman bin Bilal ne byaan kiya aur un se Hisham bin Urwah ne (doosri sanad . Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha) aur mujh se Muhammad bin Harb ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Marwan Yahya bin Abi Zakariyya ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apne marad-ul-wafat mein goya ijazat lena chahte thay (daryaft farmate) aaj meri bari kin ke yahan hai . Kal kin ke yahan ho gi ? Aisha razi Allahu anha ki bari ke din ke mutalliq khayal farmate thay ke bahut din baad aaye gi . Chunanche jab meri bari aayi to Allah Ta'ala ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ki rooh is haal mein qabz ki ke Aap salla Allahu alaihi wasallam mere seene se taik lagaye hue thay aur mere hi ghar mein Aap salla Allahu alaihi wasallam dafan kiye gaye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1390
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن هلال هو الوزان، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم في مرضه الذي لم يقم منه:" لعن الله اليهود والنصارى اتخذوا قبور انبيائهم مساجد، لولا ذلك ابرز قبره غير انه خشي او خشي ان يتخذ مسجدا"، وعن هلال , قال: كناني عروة بن الزبير ولم يولد لي.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abu Awanah ne byaan kiya ‘ un se Hilal bin Humaid ne ‘ un se Urwah ne aur un se Umm-ul-Moomineen Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne is marad ke mauqe par farmaya tha jis se Aap salla Allahu alaihi wasallam jaanbar na ho sake thay ke Allah Ta'ala ki Yahud o Nasara par lanat ho . Unhon ne apne Anbiya ki qabron ko masajid bana liya . Agar yeh darr na hota to Aap salla Allahu alaihi wasallam ki qabr bhi khuli rehne di jati . Lekin darr is ka hai ke kahin isay bhi log sajda gah na bana lein . Aur Hilal se riwayat hai ke Urwah bin Zubayr ne meri kuniyat (Abu Awanah yani Awanah ke walid) rakh di thi warna mere koi aulaad na thi .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: Q1391
حدثنا محمد بن مقاتل , اخبرنا عبد الله، اخبرنا ابو بكر بن عياش، عن سفيان التمار، انه حدثه،" انه راى قبر النبي صلى الله عليه وسلم مسنما". حدثنا فروة، حدثنا علي، عن هشام بن عروة، عن ابيه" لما سقط عليهم الحائط في زمان الوليد بن عبد الملك اخذوا في بنائه، فبدت لهم قدم ففزعوا , وظنوا انها قدم النبي صلى الله عليه وسلم، فما وجدوا احدا يعلم ذلك , حتى قال لهم عروة: لا، والله ما هي قدم النبي صلى الله عليه وسلم، ما هي إلا قدم عمر رضي الله عنه".
Hum se Muhammad ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah ne khabar di ‘ kaha ke humein Abu Bakr bin Ayash ne khabar di aur un se Sufyan Tammar ne byaan kiya ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki qabr-e-mubarak dekhi hai jo kohaan numa hai . Hum se Farwah bin Abi Al-Maghra ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Ali bin Mushir ne byaan kiya ‘ un se Hisham bin Urwah ne ‘ un se un ke walid ne ke Waleed bin Abdul Malik bin Marwan ke ehd-e-hukoomat mein (jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hujrah-e-mubarak ki) deewar giri aur log isay (zyada oonchi) uthane lage to wahan ek qadam zahir hua . Log yeh samajh kar ghabra gaye ke yeh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka qadam-e-mubarak hai . Koi shakhs aisa nahi tha jo qadam ko pehchan sakta . Aakhir Urwah bin Zubayr ne bataya ke nahi Allah gawah hai yeh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka qadam nahi hai balke yeh to Umar razi Allahu anhu ka qadam hai .
Hadith Number: 1391
وعن هشام , عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" انها اوصت عبد الله بن الزبير رضي الله عنهما لا تدفني معهم، وادفني مع صواحبي بالبقيع لا ازكى به ابدا.
Hisham apne walid se aur woh Aisha razi Allahu anha se riwayat karte hain ke Aap ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ko wasiyat ki thi ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saathiyon ke saath dafan na karna . Balke meri doosri saukanon ke saath Baqi-ul-Gharqad mein mujhe dafan karna . Main yeh nahi chahti ke un ke saath meri bhi tareef hua kare .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1392
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير بن عبد الحميد، حدثنا حصين بن عبد الرحمن، عن عمرو بن ميمون الاودي , قال: رايت عمر بن الخطاب رضي الله عنه , قال: يا عبد الله بن عمر اذهب إلى ام المؤمنين عائشة رضي الله عنها , فقل: يقرا عمر بن الخطاب عليك السلام، ثم سلها ان ادفن مع صاحبي، قالت: كنت اريده لنفسي فلاوثرنه اليوم على نفسي، فلما اقبل , قال له: ما لديك؟ , قال: اذنت لك يا امير المؤمنين، قال: ما كان شيء اهم إلي من ذلك المضجع، فإذا قبضت فاحملوني، ثم سلموا، ثم قل: يستاذن عمر بن الخطاب، فإن اذنت لي فادفنوني، وإلا فردوني إلى مقابر المسلمين، إني لا اعلم احدا احق بهذا الامر من هؤلاء النفر الذين توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو عنهم راض، فمن استخلفوا بعدي فهو الخليفة فاسمعوا له واطيعوا، فسمى عثمان، وعليا، وطلحة , والزبير، وعبد الرحمن بن عوف، وسعد بن ابي وقاص، وولج عليه شاب من الانصار , فقال: ابشر يا امير المؤمنين ببشرى الله كان لك من القدم في الإسلام ما قد علمت، ثم استخلفت فعدلت، ثم الشهادة بعد هذا كله، فقال: ليتني يا ابن اخي، وذلك كفافا لا علي ولا لي اوصي الخليفة من بعدي بالمهاجرين الاولين خيرا ان يعرف لهم حقهم وان يحفظ لهم حرمتهم، واوصيه بالانصار خيرا الذين تبوءوا الدار والإيمان ان يقبل من محسنهم ويعفى عن مسيئهم، واوصيه بذمة الله وذمة رسوله صلى الله عليه وسلم ان يوفى لهم بعهدهم، وان يقاتل من ورائهم وان لا يكلفوا فوق طاقتهم".
Hum se Qutaibah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Jarir bin Abdul Hameed ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Husain bin Abdul Rahman ne byaan kiya ‘ un se Amru bin Maimoon Audi ne byaan kiya ke meri maujoodgi mein Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se farmaya ke ae Abdullah! Umm-ul-Moomineen Aisha razi Allahu anha ki khidmat mein ja aur keh ke Umar bin Khattab ne Aap ko salam kaha hai aur phir un se maloom karna ke kya mujhe mere dono saathiyon ke saath dafan hone ki Aap ki taraf se ijazat mil sakti hai ? Aisha razi Allahu anha ne kaha ke maine is jagah ko apne liye pasand kar rakha tha lekin aaj main apne par Umar razi Allahu anhu ko tarjeeh deti hoon . Jab Ibn Umar razi Allahu anhuma wapas aaye to Umar razi Allahu anhu ne daryaft kiya ke kya paigham laye ho ? Kaha ke Ameer-ul-Moomineen unhon ne Aap ko ijazat de di hai . Umar razi Allahu anhu yeh sun kar bole ke is jagah dafan hone se zyada mujhe aur koi cheez azeez nahi thi . Lekin jab meri rooh qabz ho jaye to mujhe utha kar le jaana aur phir dobara Aisha razi Allahu anha ko mera salam puhancha kar un se kehna ke Umar ne Aap se ijazat chahi hai . Agar is waqt bhi woh ijazat de dein to mujhe wahin dafan kar dena ‘ warna musalmanon ke qabristan mein dafan kar dena . Main is amar-e-khilafat ka in chand Sahaba se zyada aur kisi ko mustahiq nahi samajhta jin se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni wafat ke waqt tak khush aur raazi rahe . Woh hazrat mere baad jisay bhi khalifa banayein ‘ khalifa wahi ho ga aur tumhare liye zaroori hai ke tum apne khalifa ki baatein tawajjo se suno aur is ki itaat karo . Aap ne is mauqe par Uthman ‘ Ali ‘ Talhah ‘ Zubayr ‘ Abdul Rahman bin Auf aur Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhum ke naam liye . Itne mein ek Ansari naujawan dakhil hua aur kaha ke ae Ameer-ul-Moomineen Aap ko bisharat ho ‘ Allah Azzawajal ki taraf se ‘ Aap ka Islam mein pehle dakhil hone ki wajah se jo martaba tha woh Aap ko maloom hai . Phir jab Aap khalifa hue to Aap ne insaf kiya . Phir Aap ne shahadat payi . Umar razi Allahu anhu bole mere bhai ke bete! Kaash in ki wajah se main barabar choot jaon . Na mujhe koi azaab ho aur na koi sawab . Haan main apne baad aane wale khalifa ko wasiyat karta hoon ke woh Muhajireen-e-Awwaleen ke saath accha bartao rakhe ‘ un ke huqooq pehchane aur un ki izzat ki hifazat kare aur main isay Ansar ke baare mein bhi accha bartao rakhne ki wasiyat karta hoon . Yeh woh log hain jinhon ne imaan walon ko apne gharon mein jagah di . (Meri wasiyat hai ke) un ke acche logon ke saath bhalayi ki jaye aur un mein jo bure hon un se darguzar kiya jaye aur main hone wale khalifa ko wasiyat karta hoon is zimmedari ko poora karne ki jo Allah aur Rasool ki zimmedari hai (yani ghair muslimon ki jo Islami hukoomat ke tehet zindagi guzaarte hain) ke un se kiye gaye waadon ko poora kiya jaye . Unhein bacha kar lara jaye aur taqat se zyada un par koi baar na dala jaye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة