الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب السهو
The Book of As-Sahw (Forgetting)
بَابُ مَنْ لَمْ يَتَشَهَّدْ فِي سَجْدَتَيِ السَّهْوِ:
Chapter. Whoever did not recite Tashah-hud (At-Tahiyyat) after the two prostrations of Sahw.
Hadith Number: Q1228
وسلم انس والحسن ولم يتشهدا , وقال قتادة لا يتشهد.
Aur Anas razi Allahu anhu aur Hasan Basri rahimahullah ne salam phera (yani sajda sahu ke baad) aur tashahud nahin parha aur Qatadah ne kaha ke tashahud na parhe .
Hadith Number: 1228
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك بن انس، عن ايوب بن ابي تميمة السختياني، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم انصرف من اثنتين، فقال له ذو اليدين: اقصرت الصلاة ام نسيت يا رسول الله؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اصدق ذو اليدين؟، فقال الناس: نعم، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم فصلى اثنتين اخريين، ثم سلم، ثم كبر فسجد مثل سجوده او اطول، ثم رفع".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik bin Anas ne khabar di , unhein Ayub bin Abi Tamimah Sakhtiyani ne khabar di , unhein Muhammad bin Sirin ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam do rakat parh kar uth kharay huay to Zul Yadain ne poocha ke ya Rasool Allah! kya namaaz kam kar di gayi hai ya Aap bhool gaye hain ? Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne logon se poocha ke kya Zul Yadain sach kehte hain . Logon ne kaha jee han! yeh sun kar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kharay huay aur do rakat jo reh gayi thin un ko parha , phir salam phera , phir «Allahu Akbar» kaha aur apne sajde ki tarah (yani namaaz ke mamooli sajde ki tarah) sajda kiya ya is se lamba phir sar uthaya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: Q1229
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد , عن سلمة بن علقمة , قال: قلت لمحمد في سجدتي: السهو تشهد، قال: ليس في حديث ابي هريرة.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Salamah bin Alqamah ne , unhon kaha ke main ne Muhammad bin Sirin se poocha ke kya sajda sahu mein tashahud hai ? Aap ne jawab diya ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ki hadees mein to is ka zikr nahin hai .