الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العمل في الصلاة
The Book of Dealing With Actions In As-Salat (The Prayer)
بَابُ مَا يُنْهَى عَنْهُ مِنَ الْكَلاَمِ فِي الصَّلاَةِ:
Chapter. What speech is prohibited during the Salat (prayer).
Show diacritics
Hadith Number: 1199
حدثنا ابن نمير، حدثنا ابن فضيل، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه , قال:" كنا نسلم على النبي صلى الله عليه وسلم وهو في الصلاة فيرد علينا، فلما رجعنا من عند النجاشي سلمنا عليه فلم يرد علينا وقال: إن في الصلاة شغلا".
Hum se Abdullah bin Numayr ne byaan kiya , kaha ke hum se Muhammad bin Fudayl ne byaan kiya , kaha ke hum se Amash ne byaan kiya , un se Ibrahim ne , un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke (pehle) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam namaaz parhte hote aur hum salam karte to Aap salla Allahu alaihi wasallam is ka jawab dete thay . Jab hum Najashi ke yahan se wapas huay to hum ne (pehle ki tarah namaaz hi mein) salam kiya . Lekin is waqt Aap salla Allahu alaihi wasallam ne jawab nahin diya balkay namaaz se farigh ho kar farmaya ke namaaz mein aadmi ko fursat kahan .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: Q1200
حدثنا ابن نمير، حدثنا إسحاق بن منصور السلولي، حدثنا هريم بن سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Numayr ne byaan kiya , kaha ke hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , un se Huraym bin Sufyan ne byaan kiya , un se Amash ne , un se Ibrahim Nakhai ne , un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se phir aisi hi riwayat byaan ki .


Show diacritics
Hadith Number: 1200
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا عيسى هو ابن يونس، عن إسماعيل، عن الحارث بن شبيل، عن ابي عمرو الشيباني , قال: قال لي زيد بن ارقم:" إن كنا لنتكلم في الصلاة على عهد النبي صلى الله عليه وسلم يكلم احدنا صاحبه بحاجته حتى نزلت: حافظوا على الصلوات سورة البقرة آية 238، فامرنا بالسكوت".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Isa bin Yunus ne khabar di , unhein Ismail bin Abi Khalid ne , unhein Harith bin Shubayl ne , unhein Abu Amr bin Saad bin Abi Iyas Shaybani ne bataya ke mujh se Zayd bin Arqam razi Allahu anhu ne batlaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ehad mein namaaz parhne mein baatein kar liya karte thay . Koi bhi apne qareeb ke namazi se apni zaroorat byaan kar deta . Phir aayat «haafizoo alas-salawaat...» utri aur humein (namaaz mein) khamosh rehne ka hukm hua .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain