الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْكُسُوف
The Book of The Eclipses.
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «يُخَوِّفُ اللَّهُ عِبَادَهُ بِالْكُسُوفِ» :
Chapter. The statement of the Prophet ﷺ:“Allah frightens Ibadahu (His devotees or slaves) with Kusuf (eclipse).”
Hadith Number: Q1048
وقال ابو موسى عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Yeh Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai .
Hadith Number: 1048
حدثنا قتيبة بن سعيد، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن يونس، عن الحسن، عن ابي بكرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن الشمس والقمر آيتان من آيات الله لا ينكسفان لموت احد ولا لحياته، ولكن الله تعالى يخوف بها عباده"، وقال ابو عبد الله: ولم يذكر عبد الوارث، وشعبة، وخالد بن عبد الله، وحماد بن سلمة، عن يونس يخوف الله بها عباده، وتابعه موسى، عن مبارك، عن الحسن، قال: اخبرني ابو بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم إن الله تعالى يخوف بهما عباده، وتابعه اشعث، عن الحسن.
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , un se Yunus bin Ubaid ne , un se Imam Hasan Basri ne , un se Abu Bakrah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya sooraj aur chaand donon Allah Ta'ala ki nishaniyan hain aur kisi ki maut o hayaat se un mein grahan nahi lagta balke Allah Ta'ala is ke zariye apne bandon ko darata hai . Abdul Waris , Shu'bah , Khalid bin Abdullah aur Hammad bin Salamah in sab hafizon ne Yunus se yeh jumla ke ”Allah Ta'ala un ko grahan kar ke apne bandon ko darata hai“ byaan nahi kiya aur Yunus ke saath is hadees ko Musa ne Mubarak bin Fudalah se , unhon ne Imam Hasan Basri se riwayat kiya . Is mein yun hai ke Abu Bakrah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se sun kar mujh ko khabar di ke Allah Ta'ala un ko grahan kar ke apne bandon ko darata hai aur Yunus ke saath is hadees ko Ash'as bin Abdullah ne bhi Imam Hasan Basri se riwayat kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة