الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْكُسُوف
The Book of The Eclipses.
بَابُ هَلْ يَقُولُ كَسَفَتِ الشَّمْسُ أَوْ خَسَفَتْ:
Chapter. Should one say: The sun Kasafat or Khasafat? (Two verbs used to mean "eclipse", the first is often used for the sun and the second for the moon). Allah says: "And the moon Khasafat (eclipsed)." (V. 75:8)
Show diacritics
Hadith Number: Q1047
وقال الله تعالى: {وخسف القمر}:
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Al-Qiyamah mein) farmaya: «wa khasafal qamar» .


Show diacritics
Hadith Number: 1047
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثنا الليث، حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرته" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم صلى يوم خسفت الشمس فقام فكبر فقرا قراءة طويلة ثم ركع ركوعا طويلا ثم رفع راسه، فقال: سمع الله لمن حمده وقام كما هو ثم قرا قراءة طويلة وهي ادنى من القراءة الاولى ثم ركع ركوعا طويلا وهي ادنى من الركعة الاولى ثم سجد سجودا طويلا ثم فعل في الركعة الآخرة مثل ذلك ثم سلم وقد تجلت الشمس فخطب الناس، فقال: في كسوف الشمس والقمر إنهما آيتان من آيات الله لا يخسفان لموت احد ولا لحياته فإذا رايتموهما فافزعوا إلى الصلاة".
Hum se Saeed bin Ufayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Laith bin Saad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di aur unhen Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zaujah mutahharah Ayesha Siddiqa razi Allahu anha ne khabar di ke jis din sooraj mein khusoof (grahan) laga to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhayi . Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay takbeer kahi phir der tak Quran Majeed parhte rahe . Lekin is ke baad aik taweel ruku kiya . Ruku se sar uthaya to kaha «sami Allahu liman hamidah» phir Aap salla Allahu alaihi wasallam pehle hi ki tarah kharay ho gaye aur der tak Quran Majeed parhte rahe lekin is martaba ki qiraat pehle se kuch kam thi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam sajdah mein gaye aur bohat der tak sajdah mein rahe phir doosri rakat mein bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne isi tarah kiya phir jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ne salam phera to sooraj saaf ho chuka tha . Namaaz se farigh ho kar Aap salla Allahu alaihi wasallam ne khutbah diya aur farmaya ke sooraj aur chaand ka «kusoof» (grahan) Allah Ta'ala ki aik nishani hai aur un mein «khusoof» (grahan) kisi ki maut o zindagi par nahi lagta . Lekin jab tum se dekho to foran namaaz ke liye lapko .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain