الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَخْبَارِ الْآحَادِ
The Book About The Information Given by One Person
بَابُ وَصَاةِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وُفُودَ الْعَرَبِ أَنْ يُبَلِّغُوا مَنْ وَرَاءَهُمْ:
Chapter. Wasat (the legacy - advice) of the Prophet (p.b.u.h.) to the Arab delegates that they should convey the religious knowledge to those whom they had left behind.
Show diacritics
Hadith Number: Q7266
قاله مالك بن الحويرث
Yeh Malik bin Huwairis Radi Allahu Anhu ne naql kiya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 7266
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا النضر، اخبرنا شعبة، عن ابي جمرة، قال: كان ابن عباس يقعدني على سريره، فقال لي: إن وفد عبد القيس لما اتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: من الوفد؟، قالوا: ربيعة، قال: مرحبا بالوفد او القوم غير خزايا ولا ندامى، قالوا: يا رسول الله، إن بيننا وبينك كفار مضر، فمرنا بامر ندخل به الجنة، ونخبر به من وراءنا، فسالوا عن الاشربة، فنهاهم عن اربع، وامرهم باربع: امرهم بالإيمان بالله، قال: هل تدرون ما الإيمان بالله؟، قالوا: الله ورسوله اعلم، قال: شهادة ان لا إله إلا الله وحده لا شريك له، وان محمدا رسول الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، واظن فيه صيام رمضان، وتؤتوا من المغانم الخمس، ونهاهم عن الدباء، والحنتم، والمزفت، والنقير، وربما قال: المقير، قال احفظوهن وابلغوهن من وراءكم".
`Hum se Ali bin al-Jad ne bayan kiya, kaha hum ko Shu'ba ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke aur mujh se Ishaq bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha hum ko Nazr bin Shumail ne khabar di, kaha hum ko Shu'ba ne khabar di, un se Abu Jamra ne bayan kiya ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma mujhe khaas apne takht par bitha lete thay. Unhon ne ek baar bayan kiya ke qabila-e-Abdul Qais ka wafd aaya jab wo log Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein pahunche Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kis qaum ka wafd hai? Unhon ne kaha ke Rabi'a qabila ka (Abdul Qais usi qabile ka ek shakh hai) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mubarak ho is wafd ko ya yun farmaya ke mubarak ho bila ruswayi aur sharmindagi uthaye aaye ho. Unhon ne kaha: ya Rasul Allah! hamare aur Aap ke beech mein Mudar kafiron ka mulk parta hai. Aap humein aisi baat ka hukm dijiye jis se hum jannat mein dakhil hon aur peeche reh jaane walon ko bhi batayein. Phir unhon ne sharab ke bartanon ke mutalliq poocha to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein chaar cheezon se roka aur chaar cheezon ka hukm diya. Aap ne iman billah ka hukm diya. Daryaft farmaya jaante ho iman billah kya cheez hai? Unhon ne kaha ke Allah aur us ka Rasul zyada jaante hain. Farmaya ke gawahi dena ke Allah ke siwa aur koi mabood nahi aur Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Allah ke Rasul hain aur namaz qaim karne ka (hukm diya) aur zakat dene ka. Mera khayal hai ke hadees mein Ramzan ke rozon ka bhi zikr hai aur ganimat mein se paanchwan hissa (Bait al-Maal) mein dena aur Aap ne unhein dubba, hantam, muzaffat aur naqeer ke bartan (jin mein Arab log sharab rakhte aur banate thay) ke istemal se mana kiya aur baaz auqat muqayyar kaha. Farmaya ke unhein yaad rakkho aur unhein pahuncha do jo nahi aa sake hain.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain