الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَخْبَارِ الْآحَادِ
The Book About The Information Given by One Person
بَابُ خَبَرِ الْمَرْأَةِ الْوَاحِدَةِ:
Chapter. News reported by one woman.
Hadith Number: 7267
حدثنا محمد بن الوليد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن توبة العنبري، قال: قال لي الشعبي: ارايت حديث الحسن عن النبي صلى الله عليه وسلم وقاعدت ابن عمر؟ قريبا من سنتين او سنة ونصف فلم اسمعه يحدث عن النبي صلى الله عليه وسلم غير هذا، قال: كان ناس من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم فيهم سعد، فذهبوا ياكلون من لحم، فنادتهم امراة من بعض ازواج النبي صلى الله عليه وسلم إنه لحم ضب، فامسكوا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كلوا او اطعموا فإنه حلال، او قال: لا باس به شك فيه ولكنه ليس من طعامي".
`Hum se Muhammad bin al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne, kaha hum se Shu'ba ne, un se Tauba bin Kaisan al-Anbari ne bayan kiya ke mujh se Sha'bi ne kaha ke tum ne dekha Imam Hasan Basri Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kitni hadees (mursalan) riwayat karte hain. Mein Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ki khidmat mein taqreeban adhai saal raha lekin mein ne un ko Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is hadees ke siwa aur koi hadees bayan karte nahi suna. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabah mein se kai as-hab jin mein Saad Radi Allahu Anhu bhi thay (dastar-khwan par baithe hue thay) logon ne gosht khane ke liye haath barhaya to azwaj-e-mutahharat mein se ek zauja-e-mutahhara Ummul Momineen Maimoona Radi Allahu Anha ne aagah kiya ke yeh sande ka gosht hai. Sab log khane se ruk gaye, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke khao (Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne «Kuloo» farmaya ya «At'imoo») is liye ke halal hai ya farmaya ke is khane mein koi haraj nahi albatta yeh janwar meri khorak nahi hai, mujh ko is ke khane se ek qism ki nafrat aati hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة