الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَخْبَارِ الْآحَادِ
The Book About The Information Given by One Person
بَابُ مَا جَاءَ فِي إِجَازَةِ خَبَرِ الْوَاحِدِ الصَّدُوقِ فِي الأَذَانِ وَالصَّلاَةِ وَالصَّوْمِ وَالْفَرَائِضِ وَالأَحْكَامِ:
Chapter. What is said regarding the acceptance of the information given by one truthful person concerning Adhan, Salat (prayer), Saum (fasting), and all other obligations and laws prescribed by Allah.
Hadith Number: Q7246
وقول الله تعالى: {فلولا نفر من كل فرقة منهم طائفة ليتفقهوا في الدين ولينذروا قومهم إذا رجعوا إليهم لعلهم يحذرون}. ويسمى الرجل طائفة لقوله تعالى: {وإن طائفتان من المؤمنين اقتتلوا}. فلو اقتتل رجلان دخل في معنى الآية. وقوله تعالى: {إن جاءكم فاسق بنبإ فتبينوا}. وكيف بعث النبي صلى الله عليه وسلم امراءه واحدا بعد واحد، فإن سها احد منهم رد إلى السنة.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Tauba mein) farmaya «Falaula nafara min kulli firqatin minhum ta'ifatun liyatafaqqahoo fid-deeni waliyunziroo qaumahum iza raja'oo ilaihim la'allahum yahzaroon» ”Aisa kyun nahi karte har firqa mein se kuch log niklein taake wo deen ki samajh hasil karein aur laut kar apni qaum ke logon ko darayein is liye ke wo tabahi se bache rahein.“ Aur ek shakhs ko bhi ta'ifa keh sakte hain jaise (Surah al-Hujurat ki) is ayat mein farmaya «Wa in ta'ifataini minal mu'mineena-qtataloo» ”Agar musalmanon ke do ta'ife lad padein aur is mein wo do musalman bhi dakhil hain jo aapas mein lad padein (to har ek musalman ek ta'ifa hua)“ aur (isi surat mein) Allah Ta'ala ne farmaya «In ja'akum fasiqan binaba'in fatabayyanoo» ”Musalmano! (jaldi mat kiya karo) agar tumhare paas badkar shakhs kuch khabar laye to is ki tahqeeq kar liya karo.“ Aur agar khabar-e-wahid maqbool na hoti to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ek shakhs ko hakim bana kar aur is ke baad doosre shakhs ko kyun bhejte aur yeh kyun farmate ke agar pehla hakim kuch bhool jaye to doosre hakim is ko sunnat ke tariq par laga de.
Hadith Number: 7246
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، حدثنا مالك بن الحويرث، قال:" اتينا النبي صلى الله عليه وسلم ونحن شببة متقاربون، فاقمنا عنده عشرين ليلة، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم: رفيقا، فلما ظن انا قد اشتهينا اهلنا او قد اشتقنا سالنا عمن تركنا بعدنا؟، فاخبرناه، قال: ارجعوا إلى اهليكم، فاقيموا فيهم، وعلموهم، ومروهم، وذكر اشياء احفظها، او لا احفظها، وصلوا كما رايتموني اصلي، فإذا حضرت الصلاة، فليؤذن لكم احدكم، وليؤمكم اكبركم".
`Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha hum se Ayub ne bayan kiya, un se Abu Qulaba ne, un se Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue. Hum sab jawan aur hum-umr thay, hum Aap ki khidmat mein bees din tak thehre rahe. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم bahut shafeeq thay. Jab Aap ne maloom kiya ke ab hamara dil apne ghar walon ki taraf mushtaq hai to Aap ne hum se poocha ke apne peeche hum kin logon ko chhod kar aaye hain. Hum ne Aap ko bataya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke apne ghar chale jao aur un ke saath raho aur unhein Islam sikhao aur deen batao aur bahut si baatein Aap ne kahein jin mein baaz mujhe yaad nahi hain aur baaz yaad hain aur (farmaya ke) jis tarah mujhe tum ne namaz parhte dekha usi tarah namaz parho. Pas jab namaz ka waqt aa jaye to tum mein se ek tumhare liye azan kahe aur jo umr mein sab se bada ho wo imamat karaye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7247
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن التيمي، عن ابي عثمان، عن ابن مسعود، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا يمنعن احدكم اذان بلال من سحوره فإنه يؤذن، او قال: ينادي ليرجع قائمكم وينبه نائمكم وليس الفجر ان يقول هكذا، وجمع يحيى كفيه حتى يقول هكذا، ومد يحيى إصبعيه السبابتين".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne, un se Sulaiman Taimi ne, un se Abu Usman Nahdi ne, un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kisi shakhs ko Bilal Radi Allahu Anhu ki azan sehri khane se na roke kyunke wo sirf is liye azan dete hain ya nida karte hain taake jo namaz ke liye bidaar hain wo wapas aa jayein aur jo soye hue hain wo bidaar ho jayein aur fajr wo nahi hai jo is tarah lambi dhaar hoti hai. Yahya ne is ke izhaar ke liye apne donon haath milaye aur kaha yahan tak ke wo is tarah zahir ho jaye aur is ke izhaar ke liye unhon ne apni donon shahadat ki ungliyon ko phaila kar batlaya.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7248
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، حدثنا عبد الله بن دينار، سمعت عبد الله بن عمر رضي الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن بلالا ينادي بليل، فكلوا واشربوا حتى ينادي ابن ام مكتوم".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se suna ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Bilal (Ramzan mein) raat hi mein azan dete hain (wo namaz-e-fajr ki azan nahi hoti) pas tum khao piyo, yahan tak ke Abdullah ibn-e-Umm-e-Maktum azan dein (to khana peena band kar do).“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7249
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال:" صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم الظهر خمسا، فقيل: ازيد في الصلاة؟، قال: وما ذاك، قالوا: صليت خمسا، فسجد سجدتين بعد ما سلم.
`Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne, un se Hakam bin Utba ne, un se Ibrahim Nakha'i ne, un se Alqama bin Qais ne aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein zohr ki paanch rakat namaz parhayi to Aap صلی اللہ علیہ وسلم se poocha gaya: kya namaz (ki rak'aton) mein kuch barh gaya hai? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne daryaft farmaya ke kya baat hai? Sahabah ne kaha ke Aap ne paanch rakat namaz parhayi hai. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne salam ke baad do sajde (sahv ke) kiye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7250
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" انصرف من اثنتين، فقال له ذو اليدين: اقصرت الصلاة يا رسول الله ام نسيت؟، فقال: اصدق ذو اليدين، فقال الناس: نعم، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم: فصلى ركعتين اخريين، ثم سلم، ثم كبر، ثم سجد مثل سجوده او اطول، ثم رفع، ثم كبر فسجد مثل سجوده، ثم رفع".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Malik ne bayan kiya un se Ayub Sakhtiyani ne, un se Muhammad bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne do hi rakat par (magrib ya isha ki namaz mein) namaz khatm kar di to Zul Yadain Radi Allahu Anhu ne kaha ke ya Rasul Allah! namaz kam kar di gayi hai ya Aap bhool gaye hain? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha: kya Zul Yadain sahih kehte hain? Logon ne kaha ji haan. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم khade hue aur aakhri rak'atein parhein phir salam phera, takbeer ki aur sajda kiya (namaz ke aam) sajde jaisa ya is se taweel, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne sar uthaya, phir takbeer kahi aur namaz ke sajde jaisa sajda kiya, phir sar uthaya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7251
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر، قال:" بينا الناس بقباء في صلاة الصبح إذ جاءهم آت، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم" قد انزل عليه الليلة قرآن، وقد امر ان يستقبل الكعبة، فاستقبلوها، وكانت وجوههم إلى الشام، فاستداروا إلى الكعبة".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne, un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Masjid-e-Quba mein log subah ki namaz parh rahe thay ke ek aane wale ne un ke paas pahunch kar kaha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم par raat Quran ki ayat nazil hui hai aur Aap ko hukm diya gaya hai ke namaz mein Ka'ba ki taraf munh kar lein pas tum bhi usi taraf rukh kar lo. In logon ke chehre Sham (yaani Bait-ul-Muqaddas) ki taraf thay, phir wo log Ka'ba ki taraf mud gaye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7252
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء، قال: لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة"صلى نحو بيت المقدس ستة عشر، او سبعة عشر شهرا، وكان يحب ان يوجه إلى الكعبة، فانزل الله تعالى: قد نرى تقلب وجهك في السماء فلنولينك قبلة ترضاها سورة البقرة آية 144، فوجه نحو الكعبة وصلى معه رجل العصر، ثم خرج، فمر على قوم من الانصار، فقال: هو يشهد انه صلى مع النبي صلى الله عليه وسلم وانه، قد وجه إلى الكعبة، فانحرفوا وهم ركوع في صلاة العصر".
`Hum se Yahya bin Musa Balkhi ne bayan kiya, kaha hum se Wakee bin Jarrah ne bayan kiya, un se Israil bin Yunus ne, un se Abu Ishaq Sabi'i ne aur un se Bara bin Azib Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke jab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم Madinah tashreef laye to Aap sola ya satra mahine tak Bait-ul-Muqaddas ki taraf munh kar ke namaz parhte rahe lekin Aap ki aarzu thi ke Ka'ba ki taraf munh kar ke namaz parhein. Phir Allah Ta'ala ne (Surah al-Baqarah mein) yeh ayat nazil ki «Qad nara taqalluba wajhika fis-sama'i falanu-walliyannaka qiblatan tarzaha» ”Hum Aap ke munh ke baar baar aasman ki taraf uthne ko dekhte hain, an-qareeb Hum Aap ko munh ko is qibla ki taraf pher dein ge jis se Aap khush hon ge.“ Chunancha rukh Ka'ba ki taraf kar diya gaya. Ek sahab ne asr ki namaz Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath parhi, phir wo Madinah se nikal kar Ansar ki ek jamaat tak pahunche aur kaha ke wo gawahi dete hain ke unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath namaz parhi hai aur Ka'ba ki taraf munh karne ka hukm ho gaya hai chunancha sab log Ka'ba rukh ho gaye halanke wo asr ki namaz ke ruku mein thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7253
حدثني يحيى بن قزعة، حدثني مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" كنت اسقيابا طلحة الانصاري، وابا عبيدة بن الجراح، وابي بن كعب شرابا من فضيخ وهو تمر، فجاءهم آت، فقال: إن الخمر قد حرمت، فقال ابو طلحة: يا انس قم إلى هذه الجرار، فاكسرها، قال انس: فقمت إلى مهراس لنا فضربتها باسفله حتى انكسرت".
`Mujh se Yahya bin Qaza'a ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein Abu Talha Ansari, Abu Ubaida ibn al-Jarrah aur Ubayy bin Ka'b Radi Allahu Anhum ko khajoor ki sharab pila raha tha. Itne mein ek aane wale shakhs ne aa kar khabar di ke sharab haram kar di gayi hai. Abu Talha Radi Allahu Anhu ne is shakhs ki khabar sunte hi kaha: Anas! in matkon ko barh kar sab ko tod de. Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ek hawan-dasta ki taraf barha jo hamare paas tha aur mein ne is ke nichle hissa se in matkon par maara jis se wo sab toot gaye.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7254
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن صلة، عن حذيفة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال لاهل نجران:"لابعثن إليكم رجلا امينا حق امين، فاستشرف لها اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، فبعث ابا عبيدة.
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba bin Hajjaj ne bayan kiya, kaha hum se Abu Ishaq ne, un se Silla bin Zufar ne aur un se Huzaifa Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ahl-e-Najran se farmaya ”Mein tumhare paas ek amanat-dar aadmi jo haqiqi amanat-dar ho ga bhejoon ga.“ Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabah muntazir rahe (ke kaun is sifat se mausof hai) to Aap ne Abu Ubaida Radi Allahu Anhu ko bheja.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة