الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَحْكَامِ
The Book of Al-Ahkam (Judgements)
بَابُ تَرْجَمَةِ الْحُكَّامِ، وَهَلْ يَجُوزُ تُرْجُمَانٌ وَاحِدٌ:
Chapter. The translators of a ruler; and is it permissible to keep one translator?
Hadith Number: 7195
وقال خارجة بن زيد بن ثابت عن زيد بن ثابت، ان النبي صلى الله عليه وسلم امره ان يتعلم كتاب اليهود حتى كتبت للنبي صلى الله عليه وسلم كتبه واقراته كتبهم إذا كتبوا إليه، وقال عمر وعنده علي وعبد الرحمن، وعثمان ماذا تقول هذه، قال عبد الرحمن بن حاطب، فقلت تخبرك بصاحبها الذي صنع بها، وقال ابو جمرة: كنت اترجم بين ابن عباس وبين الناس، وقال بعض الناس لا بد للحاكم من مترجمين
`Kharija bin Zaid bin Sabit ne apne walid Zaid bin Sabit Radi Allahu Anhu se bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne hukm diya ke Yahudiyoon ki tahreer seekhein, yahan tak ke mein Yahudiyoon ke naam Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke khutoat likhta tha aur jab Yahudi Aap ko likhte to un ke khutoat Aap ko parh kar sunata tha. Umar Radi Allahu Anhu ne Abdur Rahman bin Hatib se poocha, is waqt un ke paas Ali, Abdur Rahman aur Usman Radi Allahu Anhum bhi maujood thay ke yeh laundi kya kehti hai? Abdur Rahman bin Hatib ne kaha ke Ameerul Momineen yeh Aap ko is ke mutalliq batati hai jis ne is ke saath zina kiya hai. (jo Yargoos naam ka gulam tha) aur Abu Jamra ne kaha ke mein Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma aur logon ke darmiyan tarjumani karta tha aur baaz logon (Imam Muhammad aur Imam Shafi'i) ne kaha ke hakim ke liye do tarjumoon ka hona zaroori hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7196
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله، ان عبد الله بن عباس اخبره، ان ابا سفيان بن حرب اخبره،" ان هرقل ارسل إليه في ركب من قريش، ثم قال لترجمانه: قل لهم إني سائل هذا فإن كذبني فكذبوه، فذكر الحديث، فقال للترجمان: قل له: إن كان ما تقول حقا فسيملك موضع قدمي هاتين".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di unhein Zuhri ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah ne khabar di aur unhein Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Abu Sufyan bin Harb ne unhein khabar di ke Heraclius ne unhein Quraish ki ek jamaat ke saath bula bheja, phir apne tarjuman se kaha, un se kaho ke mein un ke baare mein poochon ga. Agar yeh mujh se jhoot baat kahe to ise jhutla dein. Phir poori hadees bayan ki is se kaho ke agar tumhari baatein sahih hain to wo shakhs is mulk ka bhi ho jaye ga jo is waqt mere qadmon ke neeche hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة