الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَحْكَامِ
The Book of Al-Ahkam (Judgements)
بَابُ هَلْ يَجُوزُ لِلْحَاكِمِ أَنْ يَبْعَثَ رَجُلاً وَحْدَهُ لِلنَّظَرِ فِي الأُمُورِ:
Chapter. Is ir permissible for a ruler to send one man only to manage certain affairs?
Hadith Number: 7193
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابي هريرة، وزيد بن خالد الجهني، قالا:" جاء اعرابي، فقال: يا رسول الله، اقض بيننا بكتاب الله، فقام خصمه، فقال: صدق، فاقض بيننا بكتاب الله، فقال الاعرابي: إن ابني كان عسيفا على هذا، فزنى بامراته، فقالوا لي: على ابنك الرجم، ففديت ابني منه بمائة من الغنم ووليدة، ثم سالت اهل العلم، فقالوا: إنما على ابنك جلد مائة وتغريب عام، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لاقضين بينكما بكتاب الله، اما الوليدة والغنم فرد عليك وعلى ابنك جلد مائة وتغريب عام، واما انت يا انيس لرجل فاغد على امراة هذا، فارجمها"، فغدا عليها انيس، فرجمها.
`Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zi'b ne bayan kiya, kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Abdullah ne aur un se Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Juhani Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke ek dehati aaye aur arz kiya: ya Rasul Allah! hamara faisla Kitab Allah ke mutabiq kar dijiye. Phir doosre fareeq khade hue aur unhon ne bhi kaha ke yeh sahih kehte hain, hamara faisla Kitab Allah se kar dijiye. Phir dehati ne kaha mera larka is shakhs ke yahan mazdoor tha, phir us ne is ki biwi ke saath zina kar liya to logon ne mujh se kaha ke tumhare larke ka hukm ise rajm karna hai lekin mein ne apne larke ki taraf se sau bakriyon aur ek baandi ka fidya de diya. Phir mein ne ahl-e-ilm se poocha to unhon ne kaha ke tumhare larke ko sau kode maare jayein ge aur ek saal ke liye shehar badar ho ga. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein tumhare darmiyan Allah ki kitab ke mutabiq faisla karoon ga. Baandi aur bakriyan to tumhein wapas milein gi aur tere larke ki saza sau kode aur ek saal ke liye jala watan hona hai aur Unais (jo ek sahabi thay) se farmaya ke tum is ki biwi ke paas jao aur ise rajm karo. Chunancha Unais Radi Allahu Anhu is ke paas gaye aur ise rajm kiya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7194