الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَحْكَامِ
The Book of Al-Ahkam (Judgements)
بَابُ مُحَاسَبَةِ الإِمَامِ عُمَّالَهُ:
Chapter. The ruler calling his employees to account.
Hadith Number: 7197
حدثنا محمد، اخبرنا عبدة، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن ابي حميد الساعدي، ان النبي صلى الله عليه وسلم" استعمل ابن الاتبية على صدقات بني سليم، فلما جاء إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم وحاسبه، قال: هذا الذي لكم وهذه هدية اهديت لي، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: فهلا جلست في بيت ابيك وبيت امك حتى تاتيك هديتك إن كنت صادقا؟، ثم قام رسول الله صلى الله عليه وسلم، فخطب الناس، وحمد الله واثنى عليه، ثم قال: اما بعد، فإني استعمل رجالا منكم على امور مما ولاني الله، فياتي احدكم، فيقول: هذا لكم وهذه هدية اهديت لي، فهلا جلس في بيت ابيه وبيت امه حتى تاتيه هديته إن كان صادقا، فوالله لا ياخذ احدكم منها شيئا، قال هشام: بغير حقه إلا جاء الله يحمله يوم القيامة، الا فلاعرفن ما جاء الله رجل ببعير له رغاء، او ببقرة لها خوار، او شاة تيعر، ثم رفع يديه حتى رايت بياض إبطيه الا هل بلغت".
`Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Abda bin Sulaiman ne khabar di, un se Hisham bin Urwa ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se Abu Humaid Sa'idi ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Ibn al-Lutbiyya ko Bani Sulaim ke sadqa ki wasooli ke liye aamil banaya. Jab wo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas (wasooli kar ke) aaye aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un se hisab talab farmaya to unhon ne kaha yeh to Aap logon ka hai aur yeh mujhe hadiya mein diya gaya hai. Is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir tum apne maan baap ke ghar kyun na baithe rahe, agar tum sacche ho to wahan bhi tumhare paas hadiya aata. Phir Aap khade hue aur logon ko khutba diya. Aap ne hamd o sana ke baad farmaya, Amma ba'du! mein kuch logon ko baaz un kaamon ke liye aamil banata hoon jo Allah Ta'ala ne mujhe saunpe hain, phir tum mein se koi ek aata hai aur kehta hai ke yeh maal tumhara hai aur yeh hadiya hai jo mujhe diya gaya hai. Agar wo saccha hai to phir kyun na wo apne baap ya apni maan ke ghar mein baitha raha taake wahin is ka hadiya pahunch jata. Pas Allah ki qasam! tum mein se koi agar is maal mein se koi cheez le ga. Hisham ne aage ka mazmoon is tarah bayan kiya ke bila haqq ke to qayamat ke din Allah Ta'ala ise is tarah laye ga ke wo is ko uthaye hue ho ga. Aagah ho jao ke mein ise pehchan loon ga jo Allah ke paas wo shakhs le kar aaye ga, oont jo aawaz nikal raha ho ga ya gaye jo apni aawaz nikal rahi ho gi ya bakri jo apni aawaz nikal rahi ho gi. Phir Aap ne apne haath uthaye yahan tak ke mein ne Aap ke baghlon ki safaidi dekhi aur farmaya kya mein ne pahuncha diya.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة