الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اسْتِتَابَةِ الْمُرْتَدِّينَ وَالْمُعَانِدِينَ وَقِتَالِهِمْ
The Book of Obliging The Apostates and The Repentance of Those Who Refuse The Truth Obstinately, and To Fight Against Such People
بَابُ إِذَا عَرَّضَ الذِّمِّيُّ وَغَيْرُهُ بِسَبِّ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَلَمْ يُصَرِّحْ نَحْوَ قَوْلِهِ السَّامُ عَلَيْكَ:
Chapter. If a Dhimmi or somebody else abuses the Prophet by playing upon words but not frankly, e.g., by saying, "As-Samu Alaika."
Show diacritics
Hadith Number: 6926
حدثنا محمد بن مقاتل ابو الحسن، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن هشام بن زيد بن انس بن مالك، قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" مر يهودي برسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: السام عليك، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: وعليك، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اتدرون ما يقول؟ قال: السام عليك، قالوا: يا رسول الله، الا نقتله؟، قال: لا، إذا سلم عليكم اهل الكتاب، فقولوا وعليكم".
Hum se Muhammad bin Muqatil Abu al-Hasan Marwazi ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Shubah bin Hajjaj ne, unhon ne Hisham bin Zayd bin Anas se, woh kehte thay main ne apne dada Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, woh kehte thay ke ek Yahudi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas se guzra kehne laga «as-saamu alayka» yanitum maro. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jawab mein sirf «wa alayka» kaha (tu bhi mare ga) phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne sahabah razi Allahعنہم se farmaya ke tum ko maloom hua, is ne kiya kaha? Is ne «as-saamu alayka» kaha. Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! (hukm ho to) is ko maar daalein. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya, nahi. Jab kitab wale Yahood aur Nasara tum ko salam kiya karein to tum bhi yahi kaha karo «wa alaykum» .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6927
حدثنا ابو نعيم، عن ابن عيينة، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" استاذن رهط من اليهود على النبي صلى الله عليه وسلم، فقالوا: السام عليك، فقلت: بل عليكم السام واللعنة، فقال: يا عائشة، إن الله رفيق يحب الرفق في الامر كله، قلت: اولم تسمع ما قالوا؟، قال: قلت: وعليكم".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , unhon ne Sufyan bin Uyaynah se , unhon ne Zuhri ne , unhon ne Urwah se , unhon ne Aisha razi Allahu anha se , unhon ne kaha ke Yahood mein se chand logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aane ki ijazat chahi jab aaye to kehne lage «as-saamu alayka» main ne jawab mein yun kaha «alaykum-us-saamu wal-lanatu» . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Aisha! Allah Ta'ala narmi karta hai aur har kaam mein narmi ko pasand karta hai . Main ne kaha: ya Rasool Allah! Kya Aap ne in ka kehna nahi suna Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne bhi to jawab de diya «wa alaykum» .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6928
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن سفيان، ومالك بن انس، قالا: حدثنا عبد الله بن دينار، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن اليهود إذا سلموا على احدكم إنما يقولون: سام عليك، فقل عليك".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya , in se Ubaidullah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Nafi ne bayan kiya , aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Shighaar se mana farmaya . Main ne Nafi se poochha Shighaar kya hai ? Unhon ne kaha yeh ke koi shakhs baghair mahar kisi ki larki se nikah karta hai ya is se baghair mahar ke apni larki ka nikah karta hai pas is ke siwa koi mahar muqarrar na ho aur baaz logon ne kaha agar kisi ne hila kar ke nikah e Shighaar kar liya to nikah ka aqd durust ho ga aur shart laghw ho gi (aur har ek ko mahar e misl aurat ka ada karna ho ga) aur haan baaz logon ne muta mein kaha hai ke wahan nikah bhi fasid hai aur shart bhi batil hai aur baaz Hanafiya yeh kehte hain ke muta aur Shighaar donon jaiz hon ge aur shart batil ho gi .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain