الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ حِفْظِ اللِّسَانِ:
Chapter. To protect one’s tongue (from illegal talk, e.g., laying, abusing or backbiting, etc.).
Show diacritics
Hadith Number: Q6474
وقول النبي صلى الله عليه وسلم: من كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليصمت، وقوله تعالى: ما يلفظ من قول إلا لديه رقيب عتيد سورة ق آية 18.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh farmana ke jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke woh achhi baat kahe ya phir chup rahe . Aur Allah Ta'ala ka yeh farmana «maa yalfizhu min qaulin illaa ladaihi raqeebun ateedun» ke ”insan jo baat bhi zaban se nikalta hai to is ke (likhne ke liye) ek chaukidaar farishta tayyar rehta hai .“


Show diacritics
Hadith Number: 6474
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، حدثنا عمر بن علي، سمع ابا حازم، عن سهل بن سعد، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من يضمن لي ما بين لحييه، وما بين رجليه اضمن له الجنة".
Hum se Muhammad bin Abu Bakr Muqad-dami ne bayan kiya , kaha hum se Umar bin Ali ne bayan kiya , unhon ne Abu Hazim se suna , unhon ne Sahl bin Saad razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”mere liye jo shakhs donon jabron ke darmiyan ki cheez (zaban) aur donon taangon ke darmiyan ki cheez (sharmgah) ki zimma-dari de-de main is ke liye jannat ki zimma-dari deta hoon .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6475
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليصمت، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فلا يؤذ جاره، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليكرم ضيفه".
Mujh se Abd-ul-Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke achhi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai woh apne parosi ko takleef na pahunchaye aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne mehman ki izzat kare .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6476
حدثنا ابو الوليد، حدثنا ليث، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي شريح الخزاعي، قال: سمع اذناي، ووعاه قلبي النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الضيافة ثلاثة ايام جائزته، قيل: ما جائزته، قال: يوم وليلة، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليكرم ضيفه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر، فليقل خيرا او ليسكت".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hamase Saeed Muqbiri ne bayan kiya , in se Abu Shuraih Khuza'i ne bayan kiya unhon ne kaha ke mere donon kaanon ne suna hai aur mere dil ne yaad rakkha hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya thu ”mehmani teen din ki hoti hai magar jo lazmi hai woh to poori karo .“ Poochha gaya lazmi kitni hai ? Farmaya ke ek din aur ek raat aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke apne mehman ki khatir kare aur jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta hai usay chahiye ke achhi baat kahe warna chup rahe .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6477
حدثني إبراهيم بن حمزة، حدثني ابن ابي حازم، عن يزيد، عن محمد بن إبراهيم، عن عيسى بن طلحة بن عبيد الله التيمي، عن ابي هريرة، سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن العبد ليتكلم بالكلمة ما يتبين فيها، يزل بها في النار ابعد مما بين المشرق".
Mujh se Ibrahim bin Hamza ne bayan kiya , kaha mujh se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya , in se Yazid bin Abdullah ne , in se Muhammad bin Ibrahim ne , in se Esa bin Talha Taymi ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”banda ek baat zaban se nikalta hai aur is ke mutalliq sochta nahi (kitni kufr aur be-adbi ki baat hai) jis ki wajah se woh dozakh ke gar-rhe mein itni door gir parta hai jitna maghrib se mashriq door hai .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6478
حدثني عبد الله بن منير، سمع ابا النضر، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله يعني ابن دينار، عن ابيه، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن العبد ليتكلم بالكلمة من رضوان الله لا يلقي لها بالا، يرفعه الله بها درجات، وإن العبد ليتكلم بالكلمة من سخط الله لا يلقي لها بالا، يهوي بها في جهنم".
Mujh se Abdullah bin Muneer ne bayan kiya , unhon ne Abu al-Nadr se suna , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Abdullah yani Ibn Dinar ne bayan kiya , in se un ke walid ne , in se Abu Salih ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”banda Allah ki raza-mandi ke liye ek baat zaban se nikalta hai usay woh koi ahmiyat nahi deta magar isi ki wajah se Allah is ke darje buland kar deta hai aur ek doosra banda ek aisa kalma zaban se nikalta hai jo Allah ki narazgi ka bais hota hai usay woh koi ahmiyat nahi deta lekin is ki wajah se woh jahannum mein chala jata hai .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain