الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنْ قِيلَ وَقَالَ:
Chapter. What is disliked about Qil and Qal (i.e., sinful and useless talk).
Hadith Number: 6473
حدثنا علي بن مسلم، حدثنا هشيم، اخبرنا غير واحد منهم مغيرة، وفلان، ورجل ثالث ايضا، عن الشعبي، عن وراد كاتب المغيرة بن شعبة، ان معاوية كتب إلى المغيرة، ان اكتب إلي بحديث سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: فكتب إليه المغيرة: إني سمعته يقول عند انصرافه من الصلاة:" لا إله إلا الله، وحده لا شريك له، له الملك، وله الحمد، وهو على كل شيء قدير، ثلاث مرات، قال: وكان ينهى عن قيل وقال، وكثرة السؤال، وإضاعة المال، ومنع، وهات، وعقوق الامهات، وواد البنات"، وعن هشيم، اخبرنا عبد الملك بن عمير، قال: سمعت ورادا، يحدث هذا الحديث، عن المغيرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali bin Muslim ne bayan kiya , kaha hum se Hushaim ne bayan kiya , kaha hum ko ek se zyada kai aadmiyon ne khabar di jin mein Mugheera bin Miqsam aur falan ne (Mujalid bin Saeed , in ki riwayat ko Ibn Khuzaymah ne nikala) aur ek teesre sahab Dawood bin Abi Hind bhi hain , unhein Shabi ne , unhein Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu ke kaatib Warrad ne ke Muawiyah razi Allahu anhu ne Mugheera ko likha ke koi hadees jo Aap ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suni ho woh mujhe likh bheijo . Rawi ne bayan kiya ke phir Mugheera razi Allahu anhu ne unhein likha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai , Aap namaz se farigh hone ke baad yeh dua parhte «laa ilaaha illallaahu wahdahoo laa shareeka lahoo lahul-mulku wa lahul-hamdu wa huwa alaa kulli shay-in qadeer» ke ”Allah ke siwa koi mabood nahi jo tanha hai is ka koi shareek nahi , badshahat usi ki hai aur tamam tareefein usi ke liye hain aur woh har cheez par qudrat rakhne wala hai .“ Yeh teen martaba parhte . Bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam be-faida baat cheet karne , zyada sawal karne , maal zhaya karne , apni cheez bacha kar rakhne aur doosron ki maangte rehne , maaon ki nafarmani karne aur larkiyon ko zinda dar-goar karne se mana farmate thay . Aur Hushaim se riwayat hai , unhein Abd-ul-Malik ibn Umair ne khabar di , kaha ke main ne Warrad se suna , woh yeh hadees Mugheera razi Allahu anhu se bayan karte thay aur woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة