الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الدَّعَوَاتِ
The Book of Invocations
بَابُ الدُّعَاءِ لِلصِّبْيَانِ بِالْبَرَكَةِ وَمَسْحِ رُءُوسِهِمْ:
Chapter. To invoke for Allah’s Blessings upon the children, and rubbing their heads (gently with the hand).
Show diacritics
Hadith Number: Q6352
وقال ابو موسى: ولد لي غلام ودعا له النبي صلى الله عليه وسلم بالبركة.
`Aur Abu Musa Ash'ari Radi Allahu Anhu ne kaha ke mere yahan ek bacha paida hua to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is ke liye barkat ki dua farmayi.


Show diacritics
Hadith Number: 6352
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم، عن الجعد بن عبد الرحمن، قال: سمعت السائب بن يزيد، يقول: ذهبت بي خالتي إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إن ابن اختي وجع، فمسح راسي ودعا لي بالبركة، ثم توضا فشربت من وضوئه، ثم قمت خلف ظهره، فنظرت إلى خاتمه بين كتفيه مثل زر الحجلة".
`Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Hatim bin Ismail ne bayan kiya, un se Jad bin Abdul Rahman ne bayan kiya ke mein ne Saib bin Yazid Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke meri khala mujhe le kar Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir huin aur arz kiya: ya Rasul Allah! mera yeh bhanja bimar hai. Chunancha Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mere sar par haath phera aur mere liye barkat ki dua ki. Phir Aap ne wuzu kiya aur mein ne Aap ke wuzu ka pani piya. Is ke baad mein Aap ki pusht ki taraf khada ho gaya aur mein ne mohr-e-nabuwwat dekhi jo donon shanon ke darmiyan mein thi jaise chhappar khat ki ghundi hoti hai ya hajla ka anda.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6353
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا ابن وهب، حدثنا سعيد بن ابي ايوب، عن ابي عقيل، انه كان يخرج به جده عبد الله بن هشام من السوق، او إلى السوق، فيشتري الطعام، فيلقاه ابن الزبير، وابن عمر، فيقولان: اشركنا فإن النبي صلى الله عليه وسلم قد دعا لك بالبركة، فيشركهم فربما اصاب الراحلة كما هي، فيبعث بها إلى المنزل".
`Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahab ne bayan kiya, kaha hum se Saeed bin Abi Ayub ne bayan kiya, un se Abu Aqeel (Zohra bin Ma'bad) ne ke unhein un ke dada Abdullah bin Hisham Radi Allahu Anhu sath le kar bazaar se nikalte ya bazaar jate aur khane ki koi cheez khareedte, phir agar Abdullah bin Zubair ya Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhum ki un se mulaqat ho jati to wo kehte ke humein bhi is mein shareek kijiye ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Aap ke liye barkat ki dua farmayi thi. Baaz dafa to ek oont ke bojh ka poora ghalla nafa mein aa jata aur wo ise ghar bhej dete thay.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6354
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، قال: اخبرني محمود بن الربيع،" وهو الذي مج رسول الله صلى الله عليه وسلم في وجهه وهو غلام من بئرهم".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Uwaisi ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Salih bin Kaisan ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Mahmood bin Rabia Radi Allahu Anhu ne khabar di yeh Mahmood wo buzurg hain jin ke munh mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne jis waqt wo bache thay, unhi ke kunwein se pani le kar kulli kar li thi.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6355
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يؤتى بالصبيان فيدعو لهم، فاتي بصبي، فبال على ثوبه، فدعا بماء فاتبعه إياه، ولم يغسله".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Hisham bin Urwa ne khabar di, unhein un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas bachon ko laya jata to Aap un ke liye dua karte thay. Ek martaba ek bacha laya gaya aur is ne Aap ke kapre par peshab kar diya. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne pani mangaya aur peshab ki jagah par ise dala kapre ko dhoya nahi.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6356
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عبد الله بن ثعلبة بن صعير" وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم قد مسح عنه انه راى سعد بن ابي وقاص يوتر بركعة".
`Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne, kaha ke mujhe Abdullah bin Tha'laba bin Su'air Radi Allahu Anhu ne khabar di aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne un ki aankh ya munh par haath phera tha. Unhon ne Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu ko ek rakat witr namaz parhte dekha tha.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain