الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ هِجَاءِ الْمُشْرِكِينَ:
Chapter. Lampooning Al-Mushrikin.
Hadith Number: 6150
حدثنا محمد، حدثنا عبدة، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: استاذن حسان بن ثابت رسول الله صلى الله عليه وسلم في هجاء المشركين، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فكيف بنسبي"، فقال حسان: لاسلنك منهم كما تسل الشعرة من العجين، وعن هشام بن عروة، عن ابيه، قال: ذهبت اسب حسان عند عائشة، فقالت:" لا تسبه، فإنه كان ينافح عن رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum se Abdah ne bayan kiya , kaha hum ko Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Hassan bin Sabit razi Allahu anhu ne mushrikeen ki hajo karne ki ijazat chahi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in ka aur mera khandan to ek hi hai (phir to main bhi is hajo mein shareek ho jaoon ga) . Hassan razi Allahu anhu ne kaha ke main hajo se Aap ko is tarah saaf nikaal doon ga jis tarah gandhe huay aatay se baal nikaal liya jata hai . Aur Hisham bin Urwah se riwayat hai , in se in ke walid ne bayan kiya ke main Hassan bin Sabit razi Allahu anhu ko Aisha razi Allahu anha ki majlis mein bura kehne laga to unhon ne kaha ke Hassan ko bura bhala na kaho , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf se mushrikon ko jawab deta tha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6151
حدثنا اصبغ، قال: اخبرني عبد الله بن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، ان الهيثم بن ابي سنان، اخبره انه سمع ابا هريرة في قصصه يذكر النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن اخا لكم لا يقول الرفث، يعني بذاك ابن رواحة"، قال: وفينا رسول الله يتلو كتابه إذا انشق معروف من الفجر ساطع ارانا الهدى بعد العمى فقلوبنا به موقنات ان ما قال واقع يبيت يجافي جنبه عن فراشه إذا استثقلت بالكافرين المضاجع تابعه عقيل، عن الزهري، الزبيدي: عن الزهري، عن سعيد، والاعرج، عن ابي هريرة.
Hum se Asbagh bin Faraj ne bayan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya , kaha ke mujhe Yunus ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , unhein Hushaim bin Abi Sinan ne khabar di ke unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna woh haalaat aur qisas ke tehat Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka tazkira kar rahe thay . Ke ek dafa Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare ek bhai ne koi buri baat nahi kahi . Aap ka isharah Ibn Rawaha ki taraf tha (apne ashaar mein) unhon ne yun kaha tha ”aur hum mein Allah ke Rasool hain jo is ki kitab ki tilawat karte hain , is waqt jab fajr ki roshni phoot kar phail jati hai . Hamain unhon ne gumrahi ke baad hidayat ka rasta dikhaya . Pas hamare dil is amar par yaqeen rakhte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jo kuch farmaya woh zaroor waqea ho ga . Aap raat is tarah guzarte hain ke in ka pehlu bistar se juda rehta hai (yani jaag kar) jab ke kafiron ke bojh se in ki khwab-gahein bojhal hui rehti hain .“ Yunus ke saath is hadees ko Aqeel ne bhi Zuhri se riwayat kiya aur Muhammad bin Waleed Zubaydi ne Zuhri se , unhon ne Saeed bin al-Musayyab se aur Abd-ur-Rahman Aaraj se unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se is hadees ko riwayat kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6152
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح وحدثنا إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن بن عوف، انه سمع حسان بن ثابت الانصاري يستشهد ابا هريرة، فيقول: يا ابا هريرة، نشدتك بالله هل سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" يا حسان اجب عن رسول الله، اللهم ايده بروح القدس" قال ابو هريرة: نعم".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , in se Zuhri ne (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hamase Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere bhai Abd-ul-Hameed ne bayan kiya , in se Sulayman ne , in se Muhammad bin Abi Ateeq ne , in se Ibn Shihab ne , in se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman bin Auf ने , unhon ne Hassan bin Sabit Ansari razi Allahu anhu se suna , woh Abu Hurairah razi Allahu anhu ko gawah bana kar keh rahe thay ke Ae Abu Hurairah! Main Aap ko Allah ki qasam de kar poochhta hoon , kya Aap ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Hassan! Allah ke Rasool ki taraf se mushrikon ko jawab do , Ae Allah! Rooh-ul-Qudus ke zariye in ki madad kar . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke haan .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6153
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، عن البراء رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال لحسان:" اهجهم او قال هاجهم وجبريل معك".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Adi bin Sabit ne aur in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hassan razi Allahu anhu se farmaya in ki hajo karo (yani mushrikeen e Quraish ki) . Ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ( «haajihum» ke alfaz farmaye) Jibrail alaihissalam tere saath hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة