الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ سَتْرِ الْمُؤْمِنِ عَلَى نَفْسِهِ:
Chapter. (It is recommended that) a believer should conceal what sins he may commit.
Hadith Number: 6069
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن اخي ابن شهاب، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، قال: سمعت ابا هريرة، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" كل امتي معافى إلا المجاهرين، وإن من المجاهرة ان يعمل الرجل بالليل عملا ثم يصبح وقد ستره الله عليه، فيقول: يا فلان عملت البارحة كذا وكذا، وقد بات يستره ربه ويصبح يكشف ستر الله عنه".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne, in se un ke bhatije Ibn Shihab ne, in se Ibn Shihab (Muhammad bin Muslim), in se Salim bin Abdullah ne bayan kiya ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri tamam ummat ko maaf kiya jaye ga siwa gunahon ko khullam khulla karne walon ke aur gunahon ko khullam khulla karne mein yeh bhi shamil hai ke ek shakhs raat ko koi (gunah ka) kaam kare aur is ke bawajood ke Allah ne is ke gunah ko chhupa diya hai magar subah hone par woh kehne lage ke Ae falan! Main ne kal raat falan falan bura kaam kiya tha. Raat guzar gayi thi aur is ke Rabb ne is ka gunah chhupaye rakkha, lekin jab subah hui to woh khud Allah ke parde ko kholne laga.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6070
حدثنا مسدد، حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن صفوان بن محرز، ان رجلا سال ابن عمر، كيف سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول في النجوى؟ قال: يدنو احدكم من ربه حتى يضع كنفه عليه، فيقول:" عملت كذا وكذا"، فيقول: نعم، ويقول:" عملت كذا وكذا"، فيقول: نعم، فيقرره، ثم يقول:" إني سترت عليك في الدنيا فانا اغفرها لك اليوم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne, unhon ne Qatadah se, unhon ne Safwan bin Muhriz se ke ek shakhs ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se poochha tum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kana-phosi ke baare mein kya suna hai? (yani sargoshi ke baare mein) unhon ne kaha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate thay (Qayamat ke din tum Musalmanon) mein se ek shakhs (jo gunahgar ho ga) apne Parvardigar se nazdeek ho jaye ga. Parvardigar apna bazu is par rakh de ga aur farmaye ga tu ne (falan din duniya mein) yeh yeh bure kaam kiye thay, woh arz kare ga. Beshak (Parvardigar mujh se khatayein hui hain par tu Ghafoor Raheem hai) gharaz (saare gunahon ka) is se (pehle) iqrar kara le ga phir farmaye ga dekh main ne duniya mein tere gunah chhupaye rakkhe to aaj main in gunahon ko bakhsh deta hoon.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة