الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اللِّبَاسِ
The Book of Dress
بَابُ لُبْسِ الْحَرِيرِ، وَافْتِرَاشِهِ لِلرِّجَالِ، وَقَدْرِ مَا يَجُوزُ مِنْهُ:
Chapter. The wearing of silk clothes by men and what is allowed thereof.
Show diacritics
Hadith Number: 5828
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، قال: سمعت ابا عثمان النهدي: اتانا كتاب عمر ونحن مع عتبة بن فرقد باذربيجان" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الحرير، إلا هكذا، واشار بإصبعيه اللتين تليان الإبهام"، قال: فيما علمنا انه يعني الاعلام.
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, kaha hum se Qatadah ne, kaha ke main ne Abu Usman Nahdi se suna ke hamare paas Umar razi Allahu anhu ka maktoob (khat) aaya hum is waqt Utbah bin Farqad razi Allahu anhu ke saath Azar Baijaan mein thay (is mein likha tha) ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne resham ke istemal se (mardon ko) mana kiya hai siwa itne ke aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne angoothay ke qareeb ki apni donon ungliyon ke ishare se is ki miqdar batayi. Abu Usman Nahdi ne bayan kiya ke hamari samajh mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki murad is se (kapre waghaira resham ke) phool botay banane se thi.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5829
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا عاصم، عن ابي عثمان، قال: كتب إلينا عمر ونحن باذربيجان،" ان النبي صلى الله عليه وسلم نهى عن لبس الحرير إلا هكذا، وصف لنا النبي صلى الله عليه وسلم إصبعيه ورفع زهير الوسطى والسبابة".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, in se Aasim ne bayan kiya, in se Abu Usman ne bayan kiya ke hamain Umar razi Allahu anhu ne likha is waqt hum Azar Baijaan mein thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne resham pehnne se mana farmaya tha siwa itne ke aur is ki wazahat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do ungliyon ke ishare se ki thi. Zuhayr (rawi e hadees) ne beech ki aur shahadat ki ungliyaan utha kar bataya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5830
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن التيمي، عن ابي عثمان، قال: كنا مع عتبة فكتب إليه عمر رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا يلبس الحرير في الدنيا إلا لم يلبس في الآخرة منه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Taymi ne bayan kiya aur in se Abu Usman ne bayan kiya ke hum Utbah razi Allahu anhu ke saath thay. Umar razi Allahu anhu ne unhein likha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”duniya mein resham jo shakhs bhi pehne ga usay aakhirat mein nahi pehnaya jaye ga.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5830M
حدثنا الحسن بن عمر، حدثنا معتمر، حدثنا ابي، حدثنا ابو عثمان، واشار ابو عثمان بإصبعيه المسبحة والوسطى.
Hum se Hasan bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Mamar ne, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, in se Abu Usman ne bayan kiya aur Abu Usman ne apni do ungliyon, shahadat aur darmiyani ungliyon se isharah kiya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5831
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن ابن ابي ليلى، قال: كان حذيفة بالمداين فاستسقى، فاتاه دهقان بماء في إناء من فضة فرماه به، وقال: إني لم ارمه إلا اني نهيته فلم ينته، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الذهب والفضة والحرير والديباج هي لهم في الدنيا ولكم في الآخرة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hakam ne, in se Ibn Abi Layla ne bayan kiya ke Huzayfah razi Allahu anhu Madain mein thay. Unhon ne pani maanga. Ek dehati chaandi ke bartan mein pani laya. Unhon ne usay phenk diya aur kaha ke main ne sirf usay is liye phenka hai ke main is shakhs ko mana kar chuka hoon (ke chaandi ke bartan mein mujhe khana aur pani na diya karo) lekin woh nahi mana. Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke sona, chaandi, resham aur deeba in (kuffar) ke liye duniya mein hai aur tumhare (Musalmanon) ke liye aakhirat mein.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5832
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، قال: سمعت انس بن مالك، قال شعبة: فقلت: اعن النبي صلى الله عليه وسلم؟ فقال شديدا: عن النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" من لبس الحرير في الدنيا فلن يلبسه في الآخرة"
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Suhayb ne bayan kiya, kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, Shubah ne bayan kiya ke is par main ne poochha kya yeh riwayat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se hai? Abdul Aziz ne bayan kiya ke qat'an Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se marwi hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo mard reshmi libas duniya mein pehne ga woh aakhirat mein usay hargiz nahi pehan sake ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5833
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، قال: سمعت ابن الزبير، يخطب، يقول: قال محمد صلى الله عليه وسلم" من لبس الحرير في الدنيا لم يلبسه في الآخرة".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Sabit ne bayan kiya ke main ne Ibn Zubayr razi Allahu anhu se suna, unhon ne khutba dete huay kaha ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke jis mard ne duniya mein resham pehna woh aakhirat mein usay nahi pehan sake ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5834
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن ابي ذبيان خليفة بن كعب، قال: سمعت ابن الزبير، يقول: سمعت عمر، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من لبس الحرير في الدنيا لم يلبسه في الآخرة"، وقال ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، عن يزيد، قالت معاذة: اخبرتني ام عمرو بنت عبد الله، سمعت عبد الله بن الزبير، سمع عمر، سمع النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Ali bin Jadd ne bayan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Abu Zhahban Khaleefa bin Kabb ne, kaha ke main ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma se suna, kaha ke main ne Umar razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis mard ne duniya mein resham pehna woh usay aakhirat mein nahi pehan sake ga. Aur hum se Abu Mamar ne bayan kiya, in se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, in se Yazid ne ke Muaz ne bayan kiya ke mujhe Umm Amr bint Abdullah ne khabar di, unhon ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma se suna, unhon ne Umar razi Allahu anhu se suna aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5835
حدثني محمد بن بشار، حدثنا عثمان بن عمر، حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، عن عمران بن حطان، قال: سالت عائشة عن الحرير، فقالت: ائت ابن عباس فسله، قال: فسالته، فقال: سل ابن عمر، قال: فسالت ابن عمر، فقال اخبرني ابو حفص، يعني عمر بن الخطاب، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إنما يلبس الحرير في الدنيا من لا خلاق له في الآخرة"، فقلت: صدق، وما كذب ابو حفص على رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال عبد الله بن رجاء: حدثنا حرب عن يحيى، حدثني عمران، وقص الحديث.
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Usman bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ali Mubarak ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya, in se Imran bin Hittan ne bayan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se resham ke mutalliq poochha to unhon ne batlaya ke Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ke paas jao aur in se poochho. Bayan kiya ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se poochha to unhon ne bayan kiya ke mujhe Abu Hafs yani Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke duniya mein resham to wahi mard pehne ga jis ka aakhirat mein koi hissa na ho. Main ne is par kaha ke sach kaha aur Abu Hafs Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki taraf koi jhooti baat nisbat nahi kar sakte aur Abdullah bin Rajaa ne bayan kiya ke hum se Jareer ne bayan kiya, in se Yahya ne aur in se Imran ne aur poori hadees bayan ki.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain