الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطِّبِّ
The Book of Medicine
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي سَمِّ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Chapter. What has been said regarding the poison given to the Prophet.
Show diacritics
Hadith Number: Q5777
رواه عروة عن عائشة عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is qissa ko Urwah ne Aisha razi Allahu anha se bayan kiya unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se naqal kiya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 5777
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة انه قال:" لما فتحت خيبر اهديت لرسول الله صلى الله عليه وسلم شاة فيها سم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اجمعوا لي من كان ها هنا من اليهود فجمعوا له، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم إني سائلكم عن شيء فهل انتم صادقي عنه، فقالوا: نعم يا ابا القاسم، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: من ابوكم؟، قالوا: ابونا فلان، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كذبتم، بل ابوكم فلان، فقالوا: صدقت وبررت، فقال: هل انتم صادقي عن شيء إن سالتكم عنه؟ فقالوا: نعم يا ابا القاسم، وإن كذبناك عرفت كذبنا كما عرفته في ابينا، قال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: من اهل النار؟، فقالوا: نكون فيها يسيرا ثم تخلفوننا فيها، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم، اخسئوا فيها، والله لا نخلفكم فيها ابدا، ثم قال لهم فهل انتم صادقي عن شيء إن سالتكم عنه؟، قالوا: نعم، فقال: هل جعلتم في هذه الشاة سما؟ فقالوا: نعم، فقال: ما حملكم على ذلك؟ فقالوا: اردنا إن كنت كذابا نستريح منك، وإن كنت نبيا لم يضرك".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne, in se Saeed bin Abi Saeed ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne, unhon ne bayan kiya ke jab Khaibar fatah hua to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko ek bakri hadiya mein pesh ki gayi (ek Yahudi aurat Zaynub bint Haris ne pesh ki thi) jis mein zehar bhara hua tha, is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yahan par jitne Yahudi hain unhein mere paas jama karo. Chunanche sab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas jama kiye gaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tum se ek baat poochon ga kya tum mujhe sahih sahih baat bata do ge? Unhon ne kaha ke haan Ae Abu al-Qasim! Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhara par-dada kaun hai? Unhon ne kaha ke falan. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum jhoot kehte ho tumhara par-dada to falan hai. Is par woh bole ke Aap ne sach farmaya, durust farmaya, phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya kya agar main tum se koi baat poochon ga to tum mujhe sach sach bata do ge? Unhon ne kaha ke haan Ae Abu al-Qasim! Aur agar hum jhoot bolein bhi to Aap hamara jhoot pakar lein ge jaisa ke abhi hamare par-dada ke mutalliq Aap ne hamara jhoot pakar liya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke dozakh wale kaun log hain? Unhon ne kaha ke kuch din ke liye to hum is mein rahein ge phir Aap log hamari jagah le lein ge. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum is mein zillat ke saath pare raho ge, wallah! Hum is mein tumhari jagah kabhi nahi lein ge. Aap ne phir in se daryaft farmaya kya agar main tum se ek baat poochon to tum mujhe is ke mutalliq sahih sahih bata do ge? Unhon ne kaha ke haan? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya kya tum ne is bakri mein zehar milaya tha, unhon ne kaha ke haan. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhein is kaam par kis jazba ne aamada kiya tha? Unhon ne kaha ke hamara maqsad yeh tha ke agar Aap jhoote hon ge to hamain Aap se najat mil jaye gi aur agar sache hon ge to Aap ko nuqsan nahi pahuncha sake ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain