الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأضاحي
The Book of Al-Adahi
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لأَبِي بُرْدَةَ: «ضَحِّ بِالْجَذَعِ مِنَ الْمَعَزِ وَلَنْ تَجْزِيَ عَنْ أَحَدٍ بَعْدَكَ» :
Chapter. The statement of the Prophet to Abu Burda:“Slaughter a kid as a sacrifice (of Eid-ul-Adha), but it will not be sufficient for anybody else after you."
Hadith Number: 5556
حدثنا مسدد، حدثنا خالد بن عبد الله، حدثنا مطرف، عن عامر، عن البراء بن عازب رضي الله عنهما، قال: ضحى خال لي يقال له: ابو بردة، قبل الصلاة، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم: شاتك شاة لحم، فقال: يا رسول الله، إن عندي داجنا جذعة من المعز، قال: اذبحها ولن تصلح لغيرك، ثم قال:" من ذبح قبل الصلاة فإنما يذبح لنفسه، ومن ذبح بعد الصلاة، فقد تم نسكه، واصاب سنة المسلمين"، تابعه عبيدة، عن الشعبي، وإبراهيم، وتابعه، وكيع، عن حريث، عن الشعبي، وقال عاصم، وداود، عن الشعبي: عندي عناق لبن، وقال زبيد، وفراس، عن الشعبي: عندي جذعة، وقال ابو الاحوص، حدثنا منصور، عناق جذعة، وقال ابن عون: عناق جذع عناق لبن.
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Abdullah ne bayan kiya , kaha hum se Mutarrif ne bayan kiya , in se Aamir ne aur in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne , unhon ne bayan kiya ke mere mamu Abu Burdah razi Allahu anhu ne Eid ki namaz se pehle hi qurbani kar li thi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke tumhari bakri sirf gosht ki bakri hai . Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mere paas ek saal se kam umr ka ek bakri ka bacha hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum usay hi zibah kar lo lekin tumhare baad (is ki qurbani) kisi aur ke liye jaiz nahi ho gi phir farmaya jo shakhs namaz e Eid se pehle qurbani kar leta hai woh sirf apne khane ko janwar zibah karta hai aur jo Eid ki namaz ke baad qurbani kare is ki qurbani poori hoti hai aur woh Musalmanon ki sunnat ko pa leta hai . Is riwayat ki mutabia-t Ubaidah ne Shabi aur Ibrahim ne ki aur is ki mutabia-t Waki ne ki , in se Huraish ne aur in se Shabi ne (bayan kiya) aur Aasim aur Dawood ne Shabi se bayan kiya ke ”mere paas ek doodh peeti pathiya hai .“ Aur Zubaid aur Firas ne Shabi se bayan kiya ke ”mere paas ek saal se kam umr ka bacha hai .“ Aur Abu al-Ahwas ne bayan kiya , in se Mansoor ne bayan kiya ke ”ek saal se kam ki pathiya .“ Aur Ibn al-Aun ne bayan kiya ke ”ek saal se kam umr ki doodh peeti pathiya hai .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5557
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سلمة، عن ابي جحيفة، عن البراء، قال:" ذبح ابو بردة قبل الصلاة، فقال له النبي صلى الله عليه وسلم: ابدلها، قال: ليس عندي إلا جذعة، قال شعبة: واحسبه قال: هي خير من مسنة، قال: اجعلها مكانها ولن تجزي عن احد بعدك"، وقال حاتم بن وردان: عن ايوب، عن محمد، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال: عناق جذعة.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , in se Shubah ne bayan kiya , in se Salama ne , in se Abu Juhaifah ne aur in se Bara razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu Burdah razi Allahu anhu ne namaz e Eid se pehle qurbani zibah kar li thi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke is ke badle mein doosri qurbani kar lo . Unhon ne arz kiya ke mere paas ek saal se kam umr ke bache ke siwa aur koi janwar nahi . Shubah ne bayan kiya ke mera khayal hai ke Abu Burdah razi Allahu anhu ne yeh bhi kaha thu ke woh ek saal ki bakri se bhi umdah hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir isi ki is ke badle mein qurbani kar do lekin tumhare baad yeh kisi ke liye kafi nahi ho gi . Aur Hatim bin Wardan ne bayan kiya , in se Ayub ne , in se Muhammad ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se aakhir hadees tak (is riwayat mein yeh lafz hain) ke ”ek saal se kam umr ki bachi hai .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة