الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ السَّوِيقِ:
Chapter. As-Sawiq.
Hadith Number: 5390
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن يحيى، عن بشير بن يسار، عن سويد بن النعمان، انه اخبره،" انهم كانوا مع النبي صلى الله عليه وسلم بالصهباء وهي على روحة من خيبر، فحضرت الصلاة، فدعا بطعام فلم يجده إلا سويقا فلاك منه، فلكنا معه، ثم دعا بماء فمضمض ثم صلى وصلينا ولم يتوضا".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Hammad ne bayan kiya , in se Yahya bin Saeed Ansari ne , in se Basheer bin Yasar ne , unhein Suwayd bin Numan razi Allahu anhu ne khabar di ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Maqam e Sahba mein thay . Woh Khaibar se ek manzil par hai . Namaz ka waqt qareeb tha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khana talab farmaya lekin sattu ke siwa aur koi cheez nahi layi gayi . Aakhir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ko phaank liya aur hum ne bhi phaanka phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne pani talab farmaya aur kulli ki . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne namaz parhayi aur hum ne bhi Aap ke saath namaz parhi aur Aap ne (is namaz ke liye naya) wuzu nahi kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة