الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَطْعِمَةِ
The Book of Foods (Meals)
بَابُ مَا كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لاَ يَأْكُلُ حَتَّى يُسَمَّى لَهُ فَيَعْلَمُ مَا هُوَ:
Chapter. The Prophet never used to eat anything unless it was named for him so that he might know what it was.
Show diacritics
Hadith Number: 5391
حدثنا محمد بن مقاتل ابو الحسن، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: اخبرني ابو امامة بن سهل بن حنيف الانصاري، ان ابن عباس اخبره، ان خالد بن الوليد الذي يقال له: سيف الله اخبره، انه" دخل مع رسول الله صلى الله عليه وسلم على ميمونة وهي خالته وخالة ابن عباس، فوجد عندها ضبا محنوذا قد قدمت به اختها حفيدة بنت الحارث من نجد، فقدمت الضب لرسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان قلما يقدم يده لطعام حتى يحدث به ويسمى له فاهوى رسول الله صلى الله عليه وسلم يده إلى الضب، فقالت امراة من النسوة الحضور: اخبرن رسول الله صلى الله عليه وسلم ما قدمتن له، هو الضب يا رسول الله، فرفع رسول الله صلى الله عليه وسلم يده عن الضب، فقال خالد بن الوليد: احرام الضب يا رسول الله؟ قال: لا، ولكن لم يكن بارض قومي، فاجدني اعافه، قال خالد: فاجتررته فاكلته ورسول الله صلى الله عليه وسلم ينظر إلي".
Hum se Muhammad bin Muqatil Abu al-Hasan ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Yala ne khabar di , kaha hum ko Yunus ne khabar di , in se Zuhri ne bayan kiya ke mujhe Abu Umama bin Sahl bin Hunaif Ansari ne khabar di , unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di aur unhein Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ne jo Saif-ullah (Allah ki talwar) ke laqab se mashhoor hain , khabar di ke woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Umm al-Momineen Maymoonah razi Allahu anha ke ghar mein dakhil huay . Umm al-Momineen in ki aur Ibn Abbas razi Allahanhuma ki khala hain . In ke yahan bhuna hua saahina maujood tha jo in ki behen Hafeeda bint al-Haris razi Allahu anha Najd se layi thien . Unhon ne woh bhuna hua saahina Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pesh kiya . Aaisa bahut kam hota tha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi khane ke liye is waqt tak hath barhaayein jab tak Aap ko is ke mutalliq bata na diya jaye ke yeh falan khana hai lekin is din Aap ne bhune huay saahine ke gosht ki taraf hath barhaya . Itne mein wahan maujood auraton mein se ek aurat ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko bata kyun nahi detien ke is waqt Aap ke samne jo tum ne pesh kiya hai woh saahina hai , ya Rasool Allah! (yeh sun kar) Aap ne apna hath saahina se hata liya . Khalid bin Waleed razi Allahu anhu bole ke ya Rasool Allah! kiya saahina haram hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi lekin yeh मेरे mulk mein kyunke nahi paya jata , is liye tabiyat pasand nahi karti . Khalid razi Allahu anhu ne bayan kiya ke phir main ne usay apni taraf khainch liya aur usay khaya . Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mujhe dekh rahe thay .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain