الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ لاَ يَخْلُوَنَّ رَجُلٌ بِامْرَأَةٍ إِلاَّ ذُو مَحْرَمٍ، وَالدُّخُولُ عَلَى الْمُغِيبَةِ:
Chapter. A man should not stay with a woman in seclusion unless he is a Dhu-Mahram (a person who is legally not allowed to marry that woman, e.g. her father or brother, etc.). (And it is unlawful for one) to enter upon a woman whose husband is absent.
Show diacritics
Hadith Number: 5232
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن ابي الخير، عن عقبة بن عامر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إياكم والدخول على النساء"، فقال رجل من الانصار: يا رسول الله، افرايت الحمو؟ قال:" الحمو: الموت".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya, un se Yazid bin Abi Habib ne, un se Abu al-Khair ne aur un se Uqbah bin Aamir ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke auraton mein jaane se bachte raho is par qabila Ansar ke ek sahabi ne arz kiya: ya Rasool Allah! Dewar ke mutalliq Aap ki kiya rai hai? (woh apni bhawaj ke saath ja sakta hai ya nahi?) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke dewar ya (jeth) ka jaana hi to halakat hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5233
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو، عن ابي معبد، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يخلون رجل بامراة إلا مع ذي محرم"، فقام رجل، فقال:" يا رسول الله، امراتي خرجت حاجة واكتتبت في غزوة كذا وكذا، قال: ارجع فحج مع امراتك".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, un se Amr bin Dinar ne byaan kiya, un se Abu Mabad ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mahram ke siwa koi mard kisi aurat ke saath tanhayi mein na baithe. Is par ek sahabi ne arz kiya: ya Rasool Allah! Meri biwi Hajj karne gayi hai aur mera naam falan ghazwa mein likha gaya hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir tu wapas ja aur apni biwi ke saath Hajj kar.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain