الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ غَيْرَةِ النِّسَاءِ وَوَجْدِهِنَّ:
Chapter. The jealousy of women and their anger.
Hadith Number: 5228
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إني لاعلم إذا كنت عني راضية وإذا كنت علي غضبى، قالت: فقلت: من اين تعرف ذلك؟ فقال: اما إذا كنت عني راضية، فإنك تقولين: لا ورب محمد، وإذا كنت علي غضبى، قلت: لا ورب إبراهيم، قالت: قلت: اجل، والله يا رسول الله ما اهجر إلا اسمك".
Hum se Ubayd bin Ismail ne byaan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke main khoob pehchanta hoon ke kab tum mujh se khush hoti ho aur kab tum mujh par naraz ho jaati ho. Byaan kiya ke is par main ne arz kiya Aap yeh baat kis tarah samajhte hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mujh se khush hoti ho to kehti ho nahi Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ke Rabb ki qasam! Aur jab tum mujh se naraz hoti ho to kehti ho nahi Ibrahim alaihissalam ke Rabb ki qasam! Byaan kiya ke main ne arz kiya ji haan, Allah ki qasam ya Rasool Allah! (ghusse mein) sirf Aap ka naam zaban se nahi leti.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5229
حدثني احمد ابن ابي رجاء، حدثنا النضر، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، انها قالت:" ما غرت على امراة لرسول الله صلى الله عليه وسلم كما غرت على خديجة، لكثرة ذكر رسول الله صلى الله عليه وسلم إياها وثنائه عليها، وقد اوحي إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبشرها ببيت لها في الجنة من قصب".
Mujh se Ahmad bin Abi Rajaa ne byaan kiya, kaha hum se Nadr bin Shumal ne byaan kiya, un se Hisham bin Urwah ne, kaha ke mujhe mere walid ne khabar di, un se Aisha razi Allahu anha ne, Aap ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye kisi aurat par mujhe itni ghairat nahi aati thi jitni Umm al-Momineen Khadija razi Allahu anha par aati thi kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam un ka zikr bakasrat kiya karte thay aur un ki tareef karte thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par wahi ki gayi thi ke Aap Khadija ko jannat mein un ke moti ke ghar ki bisharat de dein.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة