الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ إِذَا كَانَ الْوَلِيُّ هُوَ الْخَاطِبَ:
Chapter. If the guardian himself is the suitor (of the lady in his charge) (can he marry her to himself or should another guardian marry her to him)?
Show diacritics
Hadith Number: Q5131
وخطب المغيرة بن شعبة امراة هو اولى الناس بها، فامر رجلا فزوجه. وقال عبد الرحمن بن عوف لام حكيم بنت قارظ: اتجعلين امرك إلي؟ قالت: نعم، فقال: قد زوجتك، وقال عطاء: ليشهد اني قد نكحتك او ليامر رجلا من عشيرتها، وقال سهل: قالت امراة للنبي صلى الله عليه وسلم: اهب لك نفسي، فقال رجل: يا رسول الله إن لم تكن لك بها حاجة فزوجنيها.
Aur Mugheerah bin Shubah ne ek aurat ko nikah ka paigham diya aur sab se qareeb ke rishta-dar is aurat ke wahi thay . Aakhir unhon ne ek aur shakhs (Usman bin Abi al-Aas) se kaha , us ne in ka nikah parha diya aur Abdur Rahman bin Auf ne Umm Hakeem bint Qaariz se kaha tu ne apne nikah ke baab mein mujhko mukhtar kiya hai , main jis se chahoon tera nikah kar doon . Is ne kaha haan . Abdur Rahman ne kaha to main ne khud tujh se nikah kiya . Aur Ata bin Abi Rabah ne kaha do gawahon ke samne is aurat se keh de ke main ne tujh se nikah kiya ya aurat ke kunba walon mein se (go door ke rishta-dar hon) kisi ko muqarrar kar de (woh is ka nikah parha de) aur Sahl bin Saad Saadi ne riwayat kiya ke ek aurat ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha main apne aap ko bakhsh deti hoon , is mein ek shakhs kehne lagaya Rasool Allah! Agar Aap ko is ki khwahish na ho to mujh se is ka nikah kar dijiye .


Show diacritics
Hadith Number: 5131
حدثنا ابن سلام، اخبرنا ابو معاوية، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، في قوله:" ويستفتونك في النساء قل الله يفتيكم فيهن سورة النساء آية 127 إلى آخر الآية، قالت: هي اليتيمة تكون في حجر الرجل قد شركته في ماله فيرغب عنها ان يتزوجها ويكره ان يزوجها غيره، فيدخل عليه في ماله، فيحبسها، فنهاهم الله عن ذلك".
Hum se Ibn Salam ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Muawiyah ne khabar di , kaha hum se Hisham ne , in se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne aayat «wayastaftoonaka fin-nisa'i qulillahu yufteekum feehinna» ”aur Aap se auraton ke baare mein masla poochte hain , Aap keh dijiye ke Allah in ke baare mein tumhein masla batata hai .“ Aakhir aayat tak farmaya ke yeh aayat yateem larki ke baare mein nazil hui , jo kisi mard ki parwarish mein ho . Woh mard is ke maal mein bhi shareek ho aur is se khud nikah karna chahta ho aur is ka nikah kisi doosre se karna pasand na karta ho ke kahin doosra shakhs is ke maal mein hissa-dar na ban jaye is gharz se woh larki ko roke rakkhe to Allah Ta'ala ne logon ko is se mana kiya hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5132
حدثنا احمد بن المقدام، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا ابو حازم، حدثنا سهل بن سعد،" كنا عند النبي صلى الله عليه وسلم جلوسا فجاءته امراة تعرض نفسها عليه فخفض فيها النظر ورفعه، فلم يردها، فقال رجل من اصحابه: زوجنيها يا رسول الله، قال: اعندك من شيء؟ قال: ما عندي من شيء. قال: ولا خاتم من حديد؟ قال: ولا خاتم من حديد، ولكن اشق بردتي هذه فاعطيها النصف، وآخذ النصف، قال: لا، هل معك من القرآن شيء؟ قال: نعم، قال: اذهب فقد زوجتكها بما معك من القرآن".
Hum se Ahmad bin Miqdam ne byaan kiya , kaha hum se Fudayl bin Sulayman ne byaan kiya , kaha hum se Abu Hazim ne byaan kiya , kaha hum se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein baithe huay thay ke ek khatoon aayin aur apne aap ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye pesh kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein nazar neechi oopar kar ke dekha aur koi jawab nahi diya phir Aap ke sahabah mein se ek sahabi ne arz kiya: ya Rasool Allah! In ka nikah mujh se kara dijiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhare paas koi cheez hai ? Unhon ne arz kiya ke mere paas to kuch nahi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke lohe ki angoothi bhi nahi ? Unhon ne arz kiya ke lohe ki ek angoothi bhi nahi hai . Albatta main apni yeh chadar phaar ke aadhi unhein de doon ga aur aadhi khud rakhoon ga . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi , tumhare paas kuch Quran bhi hai ? Unhon ne arz kiya ke hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir jao main ne tumhara nikah in se is Quran Majeed ki wajah se kiya jo tumhare saath hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain