الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ: {وَأُمَّهَاتُكُمُ اللاَّتِي أَرْضَعْنَكُمْ}:
Chapter. (The Verse:)“...your foster-mothers who gave you suck.”(V.4:23)
Hadith Number: Q5099
ويحرم من الرضاعة ما يحرم من النسب.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke is farman ka byaan ke jo rishta khoon se haram hota hai woh doodh se bhi haram hota hai .
Hadith Number: 5099
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن عبد الله بن ابي بكر، عن عمرة بنت عبد الرحمن، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرتها، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان عندها، وانها سمعت صوت رجل يستاذن في بيت حفصة، قالت: فقلت: يا رسول الله، هذا رجل يستاذن في بيتك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اراه فلانا لعم حفصة من الرضاعة"، قالت عائشة: لو كان فلان حيا لعمها من الرضاعة دخل علي، فقال:" نعم، الرضاعة تحرم ما تحرم الولادة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne , in se Abdullah bin Abu Bakr ne , un se Umrah bint Abdur Rahman ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam un ke yahan tashreef rakhte thay aur Aap ne suna ke koi sahab Umm al-Momineen Hafsa razi Allahu anha ke ghar mein andar aane ki ijazat chahte hain . Byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Yeh shakhs Aap ke ghar mein aane ki ijazat chahta hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mera khayal hai ke yeh falan shakhs hai , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Hafsa razi Allahu anha ke ek doodh ke chacha ka naam liya . Is par Aisha razi Allahu anha ne poocha: kiya falan , jo un ke doodh ke chacha thay , agar zinda hote to meere yahan aa ja sakte thay ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan jaise khoon milne se hurmat hoti hai , waise hi doodh peene se bhi hurmat sabit ho jati hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5100
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، عن قتادة، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس، قال: قيل للنبي صلى الله عليه وسلم:" الا تتزوج ابنة حمزة؟ قال: إنها ابنة اخي من الرضاعة"، وقال بشر بن عمر، حدثنا شعبة، سمعت قتادة، سمعت جابر بن زيد، مثله.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , in se Shubah ne , un se Qatadah ne , un se Jabir bin Zayd ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya ke Aap Hamzah razi Allahu anhu ki beti se nikah kyun nahi kar lete ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh meere doodh ke bhai ki beti hai . Aur بشر bin Amr ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , unhon ne Qatadah se suna aur unhon ne isi tarah Jabir bin Zayd se suna .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5101
حدثنا الحكم بن نافع، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان زينب بنت ابي سلمة اخبرته، ان ام حبيبة بنت ابي سفيان اخبرتها، انها قالت:" يا رسول الله، انكح اختي بنت ابي سفيان، فقال: اوتحبين ذلك؟ فقلت: نعم، لست لك بمخلية واحب من شاركني في خير اختي، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إن ذلك لا يحل لي، قلت: فإنا نحدث انك تريد ان تنكح بنت ابي سلمة، قال: بنت ام سلمة! قلت: نعم. فقال:" لو انها لم تكن ربيبتي في حجري، ما حلت لي، إنها لابنة اخي من الرضاعة ارضعتني، وابا سلمة ثويبة، فلا تعرضن علي بناتكن ولا اخواتكن"، قال عروة وثويبة: مولاة لابي لهب، كان ابو لهب اعتقها، فارضعت النبي صلى الله عليه وسلم، فلما مات ابو لهب اريه بعض اهله بشر حيبة، قال له: ماذا لقيت؟ قال ابو لهب: لم الق بعدكم غير اني سقيت في هذه بعتاقتي ثويبة.
Hum se Hakam bin Nafi ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , unhein Urwah bin Zubayr ne khabar di , unhein Zaynub bint Abi Salamah ne khabar di aur unhein Umm al-Momineen Umm Habibah bint Abi Sufyan ne khabar di ke unhon ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Meri behen (Abu Sufyan ki larki) se nikah kar lijiye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya tum usay pasand karo gi (ke tumhari saukan behen bane) ? Main ne arz kiya ji haan , main to pasand karti hoon agar main akaili Aap ki biwi hoti to pasand na karti . Phir meri behen agar meere saath bhalayi mein shareek ho to main kyunkar na chahoon gi (ghairon se to behen hi achhi hai) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya woh meere liye halal nahi hai . Umm Habibah razi Allahu anha ne kaha: ya Rasool Allah! Log kehte hain Aap Abu Salamah ki beti se jo Umm Salamah ke pait se hai , nikah karne wale hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar woh meri rabibah aur meri parwarish mein na hoti (yani meri biwi ki beti na hoti) jab bhi meere liye halal na hoti . Woh doosre rishte se meri doodh bhateeji hai , mujhko aur Abu Salamah ke baap ko donon ko Suwayba ne doodh pilaya hai . Dekho , aisa mat karo apni betiyon aur behnon ko mujh se nikah karne ke liye na kaho . Urwah rawi ne kaha Suwayba Abu Lahab ki laundi thi . Abu Lahab ne us ko aazad kar diya thu . (jab is ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paida hone ki khabar Abu Lahab ko di ku) phir is ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko doodh pilaya thu jab Abu Lahab mar gaya to is ke kisi azeez ne marne ke baad is ko khwab mein bure haal mein dekha to poocha kiya haal hai kiya guzri ? Woh kehne laga jab se main tum se juda hua hoon kabhi aaram nahi mila magar ek zara sa pani (Peer ke din mil jata hai) Abu Lahab ne is garhe ki taraf isharah kiya jo angoothe aur kalma ke ungli ke beech mein hota hai yeh bhi is wajah se ke main ne Suwayba ko aazad kar diya thu .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة