الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْقُرْآنِ
The Book of The Virtues of The Quran
بَابُ التَّرْتِيلِ فِي الْقِرَاءَةِ:
Chapter. The recitation of Quran in Tartil (clearly and in slow style).
Hadith Number: Q5043
وقوله تعالى: ورتل القرءان ترتيلا سورة المزمل آية 4، وقوله: وقرءانا فرقناه لتقراه على الناس على مكث سورة الإسراء آية 106 وما يكره ان يهذ كهذ الشعر فيها يفرق سورة الدخان آية 4 يفصل، قال ابن عباس: فرقناه سورة الإسراء آية 106: فصلناه.
Aur Allah Ta'ala ne Surah Muzzammil mein farmaya «wa rattil-il-qur-aana tarteelan» ”aur Quran Majeed ko tarteel se parh .“ (yani har ek harf achhi tarah nikal kar itminan ke saath) aur Surah Bani Israeel mein farmaya «wa qur-aanan faraqnaahu litaqra-ahu alan-naasi ala muksin» ”aur hum ne Quran Majeed ko thora thora kar ke is liye bheja ke tu thehar thehar kar logon ko parh kar sunaye“ aur shair o sukhan ki tarah is ka jaldi jaldi parhna makrooh hai . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha is surat mein jo lafz «faraqnaahu» ka lafz hai is ka maani yeh hai ke hum ne usay kai hisse kar ke utara .
Hadith Number: 5043
حدثنا ابو النعمان، حدثنا مهدي بن ميمون، حدثنا واصل، عن ابي وائل، عن عبد الله، قال: غدونا على عبد الله، فقال رجل:" قرات المفصل البارحة، فقال: هذا كهذ الشعر، إنا قد سمعنا القراءة، وإني لاحفظ القرناء التي كان يقرا بهن النبي صلى الله عليه وسلم ثماني عشرة سورة من المفصل وسورتين من آل حم".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya , kaha hum se Mahdi bin Maymoon ne , kaha hum se Wasil Ahdab ne , in se Abu Wail ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se byaan kiya ke hum in ki khidmat mein subah sawayray hazir huay . Hazireen mein se ek sahab ne kaha ke raat main ne (tamam) mufassal surtein parh dalien . Is par Abdullah bin Masood razi Allahu anhu bolay jaise ashaar jaldi jaldi parhte hain tum ne waise hi parh li ho gi . Hum se qirat suni hai aur mujhe woh jorr wali surtein bhi yaad hain jin ko mila kar namazon mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam parha karte thay . Yeh atharah surtein mufassal ki hain aur woh do surtein jin ke shuru mein «ha-meem» hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5044
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن موسى بن ابي عائشة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، في قوله:"لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا نزل جبريل بالوحي وكان مما يحرك به لسانه وشفتيه فيشتد عليه، وكان يعرف منه فانزل الله الآية التي في لا اقسم بيوم القيامة سورة القيامة آية 1، لا تحرك به لسانك لتعجل به {16} إن علينا جمعه وقرءانه {17} فإذا قراناه فاتبع قرءانه {18} سورة القيامة آية 16-18 فإذا انزلناه فاستمع ثم إن علينا بيانه سورة القيامة آية 19، قال: إن علينا ان نبينه بلسانك، قال: وكان إذا اتاه جبريل اطرق، فإذا ذهب قراه كما وعده الله".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne byaan kiya , un se Musa bin Abu Aisha ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke farman «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» ”Aap Quran ko jalدی jaldi lene ke liye is par zaban ko na hilaya karein .“ Byaan kiya ke jab Jibraeel alaihissalam wahi le kar nazil hote to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni zaban aur hont hilaya karte thay . Is ki wajah se Aap ke liye wahi yaad karne mein bahut baar parta tha aur yeh Aap ke chehre se bhi zahir ho jata thu . Is liye Allah Ta'ala ne yeh aayat jo Surah «la uqsimu bi-yawmil qiyamati» mein hai , nazil ki ke Aap Quran ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban ko na hilaya karein yeh to hamare zimma hai is ka jama karna aur is ka parhwana to jab hum usay parhne lagein to Aap is ke peeche peeche parha karein phir Aap ki zaban se is ki tafseer byaan kara dena bhi hamare zimma hai .“ Rawi ne byaan kiya ke phir jab Jibraeel alaihissalam aate to Aap sar jhuka lete aur jab wapas jaate to parhte jaisa ke Allah ne Aap se yaad karwane ka waada kiya tha ke tere dilli mein jama dena is ko parha dena hamara kaam hai phir Aap is ke muwafiq parhte .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة