الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب الترتيل فى القراءة:
Bab: Quran Majeed ki tilawat saaf saaf aur theher theher kar karna.
Hadith Number: Q5043
وقوله تعالى: ورتل القرءان ترتيلا سورة المزمل آية 4، وقوله: وقرءانا فرقناه لتقراه على الناس على مكث سورة الإسراء آية 106 وما يكره ان يهذ كهذ الشعر فيها يفرق سورة الدخان آية 4 يفصل، قال ابن عباس: فرقناه سورة الإسراء آية 106: فصلناه.
Aur Allah Ta'ala ne Surah Muzzammil mein farmaya «wa rattil-il-qur-aana tarteelan» ”aur Quran Majeed ko tarteel se parh .“ (yani har ek harf achhi tarah nikal kar itminan ke saath) aur Surah Bani Israeel mein farmaya «wa qur-aanan faraqnaahu litaqra-ahu alan-naasi ala muksin» ”aur hum ne Quran Majeed ko thora thora kar ke is liye bheja ke tu thehar thehar kar logon ko parh kar sunaye“ aur shair o sukhan ki tarah is ka jaldi jaldi parhna makrooh hai . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha is surat mein jo lafz «faraqnaahu» ka lafz hai is ka maani yeh hai ke hum ne usay kai hisse kar ke utara .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 5043
حدثنا ابو النعمان، حدثنا مهدي بن ميمون، حدثنا واصل، عن ابي وائل، عن عبد الله، قال: غدونا على عبد الله، فقال رجل:" قرات المفصل البارحة، فقال: هذا كهذ الشعر، إنا قد سمعنا القراءة، وإني لاحفظ القرناء التي كان يقرا بهن النبي صلى الله عليه وسلم ثماني عشرة سورة من المفصل وسورتين من آل حم".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya , kaha hum se Mahdi bin Maymoon ne , kaha hum se Wasil Ahdab ne , in se Abu Wail ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se byaan kiya ke hum in ki khidmat mein subah sawayray hazir huay . Hazireen mein se ek sahab ne kaha ke raat main ne (tamam) mufassal surtein parh dalien . Is par Abdullah bin Masood razi Allahu anhu bolay jaise ashaar jaldi jaldi parhte hain tum ne waise hi parh li ho gi . Hum se qirat suni hai aur mujhe woh jorr wali surtein bhi yaad hain jin ko mila kar namazon mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam parha karte thay . Yeh atharah surtein mufassal ki hain aur woh do surtein jin ke shuru mein «ha-meem» hai .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن مسعود، أبو عبد الرحمن | صحابي | |
| شقيق بن سلمة الأسدي، أبو وائل | مخضرم | |
| واصل بن حيان الأحدب | ثقة ثبت | |
| مهدي بن ميمون الأزدي، أبو يحيى | ثقة | |
| محمد بن الفضل السدوسي، أبو النعمان | ثقة ثبت تغير في آخر عمره |