الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْقُرْآنِ
The Book of The Virtues of The Quran
بَابُ تَأْلِيفِ الْقُرْآنِ:
Chapter. The compilation of the Quran (i.e., the arrangement of its Surah).
Show diacritics
Hadith Number: 4993
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: واخبرني يوسف بن ماهك، قال: إني عند عائشة ام المؤمنين رضي الله عنها إذ جاءها عراقي، فقال:" اي الكفن خير؟ قالت: ويحك، وما يضرك؟ قال: يا ام المؤمنين، اريني مصحفك، قالت: لم؟ قال: لعلي اولف القرآن عليه فإنه يقرا غير مؤلف، قالت: وما يضرك ايه قرات قبل، إنما نزل اول ما نزل منه سورة من المفصل، فيها ذكر الجنة والنار، حتى إذا ثاب الناس إلى الإسلام نزل الحلال والحرام، ولو نزل اول شيء لا تشربوا الخمر، لقالوا: لا ندع الخمر ابدا ولو نزل لا تزنوا، لقالوا: لا ندع الزنا ابدا، لقد نزل بمكة على محمد صلى الله عليه وسلم، وإني لجارية العب بل الساعة موعدهم والساعة ادهى وامر سورة القمر آية 46، وما نزلت سورة البقرة والنساء إلا وانا عنده، قال: فاخرجت له المصحف فاملت عليه آي السورة".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , un se Kaysan ne kaha ke mujhe Yusuf bin Maahik ne khabar di , unhon ne byaan kiya ke main Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ki khidmat mein hazir thu ke ek Iraqi un ke paas aaya aur poocha ke kafan kaisa hona chahiye ? Umm al-Momineen ne kaha: afsos is se matlab! Kisi tarah ka bhi kafan ho tujhe kiya nuqsan ho ga . Phir is shakhs ne kaha Umm al-Momineen mujhe apne mus-haf dikha dijiye . Unhon ne kaha kyun ? (kiya zaroorat hai) is ne kaha taake main bhi Quran Majeed is tarteeb ke mutabiq parhoon kyunke log baghair tarteeb ke parhte hain . Unhon ne kaha phir is mein kiya qabahat hai jo-n-si surat tu chahe pehle parh le (jo-n-si surat chahe baad mein parh le agar utarne ki tarteeb dekhta hai) to pehle mufassal ki ek surat , utri ( «iqra bismi rabbika») jis mein jannat o dozakh ka zikr hai . Jab logon ka dilli Islam ki taraf ruju ho gaya (itiqad pukhta ho gaye) is ke baad halal o haram ke ahkam utre , agar kahin shuru shuru hi mein yeh utarta ke sharab na peena to log kehte hum to kabhi sharab peena nahi chhorien ge . Agar shuru hi mein yeh utarta ke zina na karo to log kehte hum to zina nahi chhorien ge is ke bajaye Makkah mein Muhammad salla Allahu alaihi wasallam par is waqt jab main bachi thi aur khela karti thi yeh aayat nazil hui «balis-saatu mau-iduhum was-saatu adha wa ammaru» lekin Surah al-Baqarah aur Surah Nisa is waqt nazil huien , jab main (Madinah mein) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas thi . Byaan kiya ke phir unhon ne is Iraqi ke liye apna mus-haf nikala aur har surat ki aayat ki tafseel likhwayi .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4994
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت عبد الرحمن بن يزيد بن قيس، سمعت ابن مسعود، يقول: في بني إسرائيل والكهف ومريم وطه والانبياء:" إنهن من العتاق الاول وهن من تلادي".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya , unhon ne Abdur Rahman bin Umayyah se suna aur unhon ne Ibn Masood razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha Surah Bani Israeel , Surah al-Kahf , Surah Maryam , Surah Taaha aur Surah Anbiya ke mutalliq batlaya ke yeh paanchon surtein awwal darja ki faseeh surtein hain aur meri yaad ki hui hain .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4995
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، انبانا ابو إسحاق، سمع البراء بن عازب رضي الله عنه، قال:" تعلمت سبح اسم ربك الاعلى قبل ان يقدم النبي صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Ishaq ne khabar di , unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Surah «sabbih-isma rabbikal aa-la» Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke Madinah Munawwarah aane se pehle hi seekh li thi .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4996
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن شقيق، قال: قال عبد الله:" تعلمت النظائر التي كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرؤهن، اثنين اثنين في كل ركعة، فقام عبد الله ودخل معه علقمة وخرج علقمة فسالناه، فقال: عشرون سورة من اول المفصل على تاليف ابن مسعود، آخرهن الحواميم: حم سورة الدخان آية 1 الدخان، وعم يتساءلون".
Hum se Abdan ne byaan kiya , un se Abu Hamzah (Muhammad bin Maymoon) ne un se Aamash ne , un se Shaqeeq ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha main in jurwan suraton ko jaanta hoon jinhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam har rakat mein do do parhte thay phir Abdullah bin Masood razi Allahu anhu majlis se kharay ho gaye (aur apne ghar) chale gaye . Alqamah bhi Aap ke saath andar gaye . Jab Alqamah razi Allahu anhu bahar niklay to hum ne in se unhi suraton ke mutalliq poocha . Unhon ne kaha yeh shuru mufassal ki bees surtein hain , in ki aakhri surtein woh hain jin ki awwal mein «ha-meem» hai . «ha-meem ad-dukhaan» aur «amma yatasa-aloona» bhi in hi mein se hain .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain