الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْقُرْآنِ
The Book of The Virtues of The Quran
بَابُ أُنْزِلَ الْقُرْآنُ عَلَى سَبْعَةِ أَحْرُفٍ:
Chapter. The Quran was revealed to be recited in seven different ways.
Hadith Number: 4991
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: حدثني عبيد الله بن عبد الله، ان عبد الله بن عباس رضي الله عنهما حدثه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اقراني جبريل على حرف فراجعته فلم ازل استزيده، ويزيدني حتى انتهى إلى سبعة احرف".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ubaydullah bin Abdullah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jibraeel alaihissalam ne mujhko (pehle) Arab ke ek hi muhaware par Quran parhaya . Main ne in se kaha (is mein bahut sakhti ho gi) main barabar in se kehta raha ke aur muhawaron mein bhi parhne ki ijazat do . Yahan tak ke saat muhawaron ki ijazat mili .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4992
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: حدثني عروة بن الزبير، ان المسور بن مخرمة، وعبد الرحمن بن عبد القاري حدثاه، انهما سمعا عمر بن الخطاب، يقول: سمعت هشام بن حكيم بن حزام يقرا سورة الفرقان في حياة رسول الله صلى الله عليه وسلم فاستمعت لقراءته، فإذا هو يقرا على حروف كثيرة لم يقرئنيها رسول الله صلى الله عليه وسلم فكدت اساوره في الصلاة فتصبرت، حتى سلم فلببته بردائه، فقلت: من اقراك هذه السورة التي سمعتك تقرا؟ قال: اقرانيها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: كذبت، فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد اقرانيها على غير ما قرات , فانطلقت به اقوده إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: إني سمعت هذا يقرا بسورة الفرقان على حروف لم تقرئنيها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ارسله، اقرا يا هشام فقرا عليه القراءة التي سمعته يقرا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كذلك انزلت، ثم قال: اقرا يا عمر، فقرات القراءة التي اقراني، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كذلك انزلت إن هذا القرآن انزل على سبعة احرف فاقرءوا ما تيسر منه".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , kaha mujh se Urwah bin Zubayr ne byaan kiya , un se Miswar bin Makhramah aur Abdur Rahman bin Abdul Qari ne byaan kiya , unhon ne Umar bin Khattab razi Allahu anhu se suna woh byaan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zindagi mein , main ne Hisham bin Hakeem ko Surah al-Furqan namaz mein parhte suna , main ne in ki qirat ko ghaur se suna to maloom hua ke woh surat mein aise huroof parh rahe hain ke mujhe is tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne nahi parhaya tha , qareeb tha ke main un ka sar namaz hi mein pakar leta lekin main ne bari mushkil se sabr kiya aur jab unhon ne salam phera to main ne in ki chadar se in ki gardan baandh kar poocha yeh surat jo main ne abhi tumhein parhte huay suni hai , tumhein kis ne is tarah parhayi hai ? Unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe isi tarah parhayi hai , main ne kaha tum jhoot bolte ho . Khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe is se mukhtalif doosre harfon se parhayi jis tarah tum parh rahe thay . Aakhir main unhein khainchta hua Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ke main ne is shakhs se Surah al-Furqan aise harfon mein parhte suni jin ki Aap ne mujhe taleem nahi di hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umar razi Allahu anhu tum pehle unhein chhor do aur Ae Hisham! Tum parh ke sunao . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne bhi in hi harfon mein parha jin mein main ne unhein namaz mein parhte suna tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sun kar farmaya ke yeh surat isi tarah nazil hui hai . Phir farmaya Umar! Ab tum parh kar sunao main ne is tarah parha jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe taleem di thi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay bhi sun kar farmaya ke isi tarah nazil hui hai . Yeh Quran saat harfon par nazil hua hai pas tumhein jis tarah aasan ho parho .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة