الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّلَاةِ
The Book of As-Salat (The Prayer)
بَابُ قِبْلَةِ أَهْلِ الْمَدِينَةِ وَأَهْلِ الشَّأْمِ وَالْمَشْرِقِ:
Chapter. The Qiblah for the people of Al-Madina, Sham and the East.
Show diacritics
Hadith Number: Q394
ليس في المشرق ولا في المغرب قبلة، لقول النبي صلى الله عليه وسلم: «لا تستقبلوا القبلة بغائط او بول ولكن شرقوا او غربوا» .
Aur (Madinah aur Sham walon ka) qibla mashriq o maghrib ki taraf nahi hai. Kyunke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (khaas Ahl-e-Madinah se mutaliq aur Ahl-e-Sham bhi isi mein dakhil hain) ke pakhana peshab ke waqt qibla ki taraf rukh na karo, albatta mashriq ki taraf apna munh kar lo, ya maghrib ki taraf.


Show diacritics
Hadith Number: 394
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الزهري، عن عطاء بن يزيد، عن ابي ايوب الانصاري، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اتيتم الغائط فلا تستقبلوا القبلة ولا تستدبروها، ولكن شرقوا او غربوا"، قال ابو ايوب: فقدمنا الشام، فوجدنا مراحيض بنيت قبل القبلة، فننحرف ونستغفر الله تعالى، وعن الزهري، عن عطاء، قال: سمعت ابا ايوب، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se Zuhri ne Ata bin Yazid Laisi ke wasita se, unhon ne Abu Ayyub Ansari Razi Allah Anhu se ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum qazaye hajat ke liye jao to is waqt na qibla ki taraf munh karo aur na peeth karo. Balkay mashriq ya maghrib ki taraf is waqt apna munh kar liya karo. Abu Ayyub ne farmaya ke hum jab Sham mein aaye to yahan ke bait-ul-khala qibla rukh bane hue thay (jab hum qazaye hajat ke liye jate) to hum mud jate aur Allah Azzawajal se istighfar karte thay aur Zuhri ne Ata se is hadees ko isi tarah riwayat kiya. Is mein yun hai ke Ata ne kaha main ne Abu Ayyub se suna, unhon ne isi tarah Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain