الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Hadith Number: 4853
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن محمد بن عبد الرحمن بن نوفل، عن عروة، عن زينب بنت ابي سلمة، عن ام سلمة، قالت: شكوت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم اني اشتكي، فقال:" طوفي من وراء الناس وانت راكبة"، فطفت، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي إلى جنب البيت يقرا بالطور، وكتاب مسطور".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Muhammad bin Abdur Rahman bin Naufal ne , unhein Urwah ne , unhein Zaynub bint Abi Salamah ne aur un se Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ne byaan kiya ke (Hajj ke mauqa par) main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke main beemar hoon Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir sawari par baith kar logon ke peeche se tawaf kare chunanche main ne tawaf kiya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt Khana Kaaba ke pehlu mein namaz parhte huay Surah wat-Toor wa Kitabim Mastoor ki tilawat kar rahe thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4854
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، قال: حدثوني عن الزهري، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا في المغرب بالطور، فلما بلغ هذه الآية ام خلقوا من غير شيء ام هم الخالقون {35} ام خلقوا السموات والارض بل لا يوقنون {36} ام عندهم خزائن ربك ام هم المسيطرون {37} سورة الطور آية 35-37، قال: كاد قلبي ان يطير، قال سفيان: فاما انا، فإنما سمعت الزهري يحدث، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" يقرا في المغرب بالطور"، ولم اسمعه زاد الذي قالوا لي.
Hum se Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , kaha ke mujh se mere as-haab ne Zuhri ke wasta se byaan kiya , un se Muhammad bin Jubayr bin Mut'im ne aur un se un ke walid Jubayr bin Mut'im razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna . Aap salla Allahu alaihi wasallam Maghrib ki namaz mein Surah wat-Toor parh rahe thay . Jab Aap Surah wat-Toor is aayat par pahunche «am khuliqoo min ghayri shay'in am humul khaaliqoona * am khalaqus-samawati wal arda bal la yooqinoona * am indahum khaza'inu rabbika am humul musaitiroona» ”kya yeh log baghair kisi ke paida kiye paida ho gaye ya yeh khud (apne) khaliq hain ? Ya unhon ne aasman aur zameen ko paida kar liya hai . Asal yeh hai ke in mein yaqeen hi nahi . Kya in logon ke paas Aap ke Parvardigar ke khazane hain ya yeh log hakim hain .“ To mera dilli urnay laga . Sufyan ne byaan kiya lekin main ne Zuhri se suna hai woh Muhammad bin Jubayr bin Mut'im se riwayat karte thay , un se un ke walid (Jubayr bin Mut'im razi Allahu anhu) ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Maghrib mein Surah wat-Toor parhte suna (Sufyan ne kaha ke) meere sathiyon ne is ke baad jo izafa kiya hai woh main ne Zuhri se nahi suna .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة