الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {وَالَّذِينَ يَرْمُونَ أَزْوَاجَهُمْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُمْ شُهَدَاءُ إِلاَّ أَنْفُسُهُمْ فَشَهَادَةُ أَحَدِهِمْ أَرْبَعُ شَهَادَاتٍ بِاللَّهِ إِنَّهُ لَمِنَ الصَّادِقِينَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And for those who accuse their wives, but have no witnesses except themselves...”(V.24:6)
Hadith Number: 4745
حدثنا إسحاق، حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا الاوزاعي، قال: حدثني الزهري، عن سهل بن سعد، ان عويمرا اتى عاصم بن عدي وكان سيد بني عجلان، فقال: كيف تقولون في رجل وجد مع امراته رجلا ايقتله فتقتلونه، ام كيف يصنع؟ سل لي رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فاتى عاصم النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، فكره رسول الله صلى الله عليه وسلم المسائل، فساله عويمر، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم كره المسائل وعابها، قال عويمر: والله لا انتهي حتى اسال رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فجاء عويمر، فقال: يا رسول الله، رجل وجد مع امراته رجلا ايقتله فتقتلونه، ام كيف يصنع؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قد انزل الله القرآن فيك وفي صاحبتك، فامرهما رسول الله صلى الله عليه وسلم بالملاعنة بما سمى الله في كتابه، فلاعنها"، ثم قال: يا رسول الله، إن حبستها فقد ظلمتها، فطلقها، فكانت سنة لمن كان بعدهما في المتلاعنين، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انظروا فإن جاءت به اسحم ادعج العينين عظيم الاليتين خدلج الساقين، فلا احسب عويمرا إلا قد صدق عليها، وإن جاءت به احيمر كانه وحرة فلا احسب عويمرا إلا قد كذب عليها" فجاءت به على النعت الذي نعت به رسول الله صلى الله عليه وسلم من تصديق عويمر، فكان بعد ينسب إلى امه.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne , kaha hum se Imam Awzai ne , kaha ke mujh se Zuhri ne byaan kiya . Un se Sahl bin Saad ne byaan kiya ke Uwaymir bin Harith bin Zayd bin Jadd bin Ajlaan Aasim bin Adi ke paas aaye . Aasim Bani Ajlaan ke sardar thay . Unhon ne Aap se kaha ke Aap logon ka ek aaisi shakhs ke baare mein kya khayal hai jo apni biwi ke saath kisi ghair mard ko pa leta hai kya woh usay qatl kar de ? Lekin tum phir usay qisas mein qatl kar do ge! Aakhir aaisi surat mein insan kya tariqa ikhtiyar kare ? Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq pooch ke mujhe bataiye . Chunanche Aasim , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! (surat e mazkoora mein khawand kya kare) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in masail (mein sawal o jawab) ko napasand farmaya . Jab Uwaymir ne in se poocha to unhon ne bata diya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne in masail ko napasand farmaya hai . Uwaymir ne in se kaha ke wallah main khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se usay poochoon ga . Chunanche woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya . Ya Rasool Allah! Ek shakhs apni biwi ke saath ek ghair mard ko dekhta hai kya woh is ko qatl kar de ? Lekin phir Aap qisas mein is ko qatl karein ge . Aaisi surat mein is ko kya karna chahiye ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne tumhare aur tumhari biwi ke baare mein Quran ki aayat utari hai . Phir Aap ne unhein Quran ke bataye huay tariqa ke mutabiq liaan ka hukm diya . Aur Uwaymir ne apni biwi ke saath liaan kiya , phir unhon ne kaha: ya Rasool Allah! Agar main apni biwi ko roke rakkhoon to main zhaalim hoon ga . Is liye Uwaymir ne usay talaq de di . Is ke liaan ke baad miyaan biwi mein judayi ka tariqa jaari ho gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne phir farmaya ke dekhte raho agar is aurat ke kala , bahut kaali putliyon wala , bhaari sureen aur bhari hui pindliyon wala bacha paida ho to mera khayal hai ke Uwaymir ne ilzam ghalat nahi lagaya hai . Lekin agar surkh surkh girgat jaisa paida ho to mera khayal hai ke Uwaymir ne ghalat ilzam lagaya hai . Is ke baad in aurat ke jo bacha paida hua woh unhi sifaat ke mutabiq tha jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne byaan ki thien aur jis se Uwaymir ki tasdeeq hoti thi . Chunanche is larke ka nasab is ki maan ki taraf rakkha gaya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة