الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة النُّورِ:
SURAT AN-NUR (The Light)
Show diacritics
Hadith Number: Q4745
من خلاله: من بين اضعاف السحاب، سنا برقه: وهو الضياء، مذعنين: يقال للمستخذي مذعن اشتاتا وشتى وشتات وشت واحد، وقال ابن عباس: سورة انزلناها: بيناها، وقال غيره: سمي القرآن لجماعة السور، وسميت السورة لانها مقطوعة من الاخرى فلما قرن بعضها إلى بعض سمي قرآنا، وقال سعد بن عياض الثمالي: المشكاة الكوة بلسان الحبشة، وقوله تعالى: إن علينا جمعه وقرآنه: تاليف بعضه إلى بعض، فإذا قراناه فاتبع قرآنه: فإذا جمعناه والفناه فاتبع قرآنه اي ما جمع فيه فاعمل بما امرك وانته عما نهاك الله، ويقال: ليس لشعره قرآن اي تاليف وسمي الفرقان لانه يفرق بين الحق والباطل، ويقال للمراة: ما قرات بسلا قط اي لم تجمع في بطنها ولدا ويقال في، فرضناها: انزلنا فيها فرائض مختلفة، ومن قرا، فرضناها: يقول فرضنا عليكم وعلى من بعدكم، وقال مجاهد: او الطفل الذين لم يظهروا: لم يدروا لما بهم من الصغر، وقال الشعبي: اولي الإربة من ليس له ارب، وقال طاوس: هو الاحمق الذي لا حاجة له في النساء، وقال مجاهد: لا يهمه إلا بطنه، ولا يخاف على النساء.
«min khilaalihi» ka maani baadal ke pardon ke beech mein se . «sana barqihi» is ki bijli ki roshni . «muz-ineena» , «muz-inun» ki jama hai yani aajzi karne wala . «ashtatan» aur «shatta» aur «shataatun» aur «shattun» sab ke ek hi maani hain (yani alag alag) aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «suratun anzalnaha» ka maani hum ne is ko khol kar byaan kiya ke suraton ke majmua ki wajah se Quran ka naam para aur Surah ko Surah is wajah se kehte hain ke woh doosri Surah se alaihda hoti hai phir jab ek Surah doosri ke qareeb kar di gayi to majmua ko Quran kehne lage , (to yeh «qarnun» se nikla hai) aur Saad bin Ayadh Sumali ne kaha (is ko Ibn Shaheen ne wasal kiya) . «mishkaatun» kehte hain taaq ko yeh Habshi zaban ka lafz hai . Aur yeh jo Surah Qiyamah mein farmaya hum par is ka jama karna aur «qur-aanan» karna hai to «qur-aanan» se is ka jorrna aur ek tukray se doosra tukra milana murad hai . Phir farmaya «fa-izha qara'naahu fattabi qur-aanahu» yani jab hum is ko jorr dein aur murattab kar dein to is majmua ki pairwi kar yani is mein jis baat ka hukm hai usay baja la aur jis ki Allah ne mamanat ki hai is se baaz reh aur Arab log kehte hain is ke shairon ka Quran nahi hai . Yani koi majmua nahi hai aur «qur-aanan» ko «furqaanan» bhi kehte hain kyunke woh haq aur baatil ko juda karta hai aur aurat ke haq mein kehte hain «ma qara'at bisalin qattu» yani is ne apne pait mein bacha kabhi nahi rakkha aur kaha «faradnaha» tashdeed se to maani yeh ho ga hum ne is mein mukhtalif faraiz nazil kiye aur jis ne «faradnaha» takhfeef se parha hai to maani yeh ho ga hum ne tum par aur jo log Qayamat tak tumhare baad aayein ge un par farz kiya . Mujahid ne kaha «awit-tif-lillazheena lam yazhharu» se woh kam-sin bache murad hain jo kam-sini ki wajah se auraton ki sharmgah ya jima se waqif nahi hain aur Shabi ne kaha «ghayri ulil irbati» se woh mard murad hain jin ko auraton ki ihtiyaj na ho . Aur Taoos ne kaha (is ko Abdur Razzaq ne wasal kiya) woh ahmaq murad hai jis ko auraton ka khayal na ho aur Mujahid ne kaha (is ko Tabari ne wasal kiya) jin ko apne pait ki dhun lagi ho un se yeh darr na ho ke auraton ko hath lagayein ge .