الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَالْخَامِسَةُ أَنَّ لَعْنَةَ اللَّهِ عَلَيْهِ إِنْ كَانَ مِنَ الْكَاذِبِينَ}:
Chapter.“And the fifth (testimony should be) the invoking of the Curse of Allah on him if he is of those who tell a lie (against her).”(V.24:7)
Hadith Number: 4746
حدثني سليمان بن داود ابو الربيع، حدثنا فليح، عن الزهري، عن سهل بن سعد، ان رجلا اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، ارايت رجلا راى مع امراته رجلا ايقتله فتقتلونه، ام كيف يفعل؟ فانزل الله فيهما ما ذكر في القرآن من التلاعن، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قد قضي فيك وفي امراتك"، قال: فتلاعنا وانا شاهد عند رسول الله صلى الله عليه وسلم، ففارقها، فكانت سنة ان يفرق بين المتلاعنين، وكانت حاملا، فانكر حملها، وكان ابنها يدعى إليها، ثم جرت السنة في الميراث ان يرثها، وترث منه ما فرض الله لها.
Mujh se Abu al-Rabi Sulayman bin Dawood ne byaan kiya , kaha hum se Falih ne , un se Zuhri ne , un se Sahl bin Saad ne ke ek sahab (yani Uwaymir) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Aise shakhs ke mutalliq Aap ka kya irshad hai jis ne apni biwi ke saath ek ghair mard ko dekha ho kya woh usay qatl kar de ? Lekin phir Aap qisas mein qatil ko qatl kar dein ge . Phir usay kya karna chahiye ? Unhi ke mutalliq Allah Ta'ala ne do aayatein nazil kien jin mein liaan ka zikr hai . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke tumhare aur tumhari biwi ke baare mein faisla kiya ja chuka hai . Rawi ne byaan kiya ke phir donon miyaan biwi ne liaan kiya aur main is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir tha . Phir Aap ne donon mein judayi kara di aur do liaan karne walon mein is ke baad yahi tariqa qaim ho gaya ke un mein judayi kara di jaye . Un ki biwi hamila thien , lekin unhon ne is ka bhi inkar kar diya . Chunanche jab bacha paida hua to usay maan hi ke naam se pukara jaane laga . Miras ka yeh tariqa hua ke beta maan ka waris hota hai aur maan Allah ke muqarrar kiye huay hisse ke mutabiq bete ki waris hoti hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة