الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَيَدْرَأُ عَنْهَا الْعَذَابَ أَنْ تَشْهَدَ أَرْبَعَ شَهَادَاتٍ بِاللَّهِ إِنَّهُ لَمِنَ الْكَاذِبِينَ}:
Chapter.“But it shall avert the punishment (of stoning to death) from her..." (V.24:8)
Show diacritics
Hadith Number: 4747
حدثني محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن هشام بن حسان، حدثنا عكرمة، عن ابن عباس، ان هلال بن امية قذف امراته عند النبي صلى الله عليه وسلم بشريك ابن سحماء، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" البينة او حد في ظهرك"، فقال: يا رسول الله، إذا راى احدنا على امراته رجلا ينطلق يلتمس البينة، فجعل النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" البينة وإلا حد في ظهرك"، فقال هلال: والذي بعثك بالحق إني لصادق، فلينزلن الله ما يبرئ ظهري من الحد، فنزل جبريل، وانزل عليه، والذين يرمون ازواجهم فقرا حتى بلغ إن كان من الصادقين سورة النور آية 6 - 9، فانصرف النبي صلى الله عليه وسلم، فارسل إليها، فجاء هلال، فشهد، والنبي صلى الله عليه وسلم يقول:" إن الله يعلم ان احدكما كاذب، فهل منكما تائب"، ثم قامت، فشهدت، فلما كانت عند الخامسة وقفوها، وقالوا: إنها موجبة، قال ابن عباس: فتلكات، ونكصت حتى ظننا انها ترجع، ثم قالت: لا افضح قومي سائر اليوم، فمضت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" ابصروها، فإن جاءت به اكحل العينين سابغ الاليتين خدلج الساقين، فهو لشريك ابن سحماء"، فجاءت به كذلك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لولا ما مضى من كتاب الله لكان لي ولها شان".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Abi Adi ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne un se Ikrimah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Hilal bin Umayyah ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne apni biwi par Shareek bin Sahma ke saath tohmat lagayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ke gawah lao warna tumhari peeth par had lagayi jaye gi . Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Ek shakhs apni biwi ke saath ek ghair ko mubtala dekhta hai to kya woh aaisi halat mein gawah talash karne jaye ga ? Lekin Aap yahi farmate rahe ke gawah lao , warna tumhari peeth par had jaari ki jaye gi . Is par Hilal ne arz kiya . Is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath Nabi bana kar bheja hai main sacha hoon aur Allah Ta'ala khud hi koi aaisi aayat nazil farmaye ga . Jis ke zariye mere oopar se had door ho jaye gi . Itne mein Jibraeel alaihissalam tashreef laye aur yeh aayat nazil hui «wallazhina yarmoona azwaajahum» se «in kaana minas-sadiqeena» . (jis mein aaisi surat mein liaan ka hukm hai) jab nuzool e wahi ka silsila khatam hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hilal ko aadmi bhej kar bulwaya woh aaye aur aayat ke mutabiq char martaba qasam khayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mauqa par farmaya ke Allah khoob jaanta hai ke tum mein se ek zaroor jhoota hai to kya woh tauba karne par tayyar nahi hai . Is ke baad un ki biwi khari huien aur unhon ne bhi qasam khayi , jab woh paanchween par pahunchein (aur char martaba apni bara'at ki qasam khane ke baad , kehne lagein ke agar main jhooti hoon to mujh par Allah ka ghazab ho) to logon ne unhein rokne ki koshish ki aur kaha ke (agar tum jhooti ho to) is se tum par Allah ka azab zaroor nazil ho ga . Ibn Abbas razi Allahu anha ne byaan kiya ke is par woh hich-kichayein hum ne samjha ke ab woh apna byaan wapas le lein gi . Lekin yeh kehte huay ke zindagi bhar ke liye main apni qaum ko ruswa nahi karoon gi . Paanchween baar qasam khayi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke dekhna agar bacha khoob siyah aankhon wala , bhaari sureen aur bhari bhari pindliyon wala paida hua to phir woh Shareek bin Sahma hi ka ho ga . Chunanche jab paida hua to woh isi shakal o surat ka tha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar Kitab Allah ka hukm na aa chuka hota to main usay rajmi saza deta .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain