الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {وَنَرِثُهُ مَا يَقُولُ وَيَأْتِينَا فَرْدًا}:
Chapter.“And We shall inherit from him (at his death) all that he talks of (i.e., wealthand children which Allah has bestowed upon him in this world), and he shall come to Us alone.”(V.19:80)
Show diacritics
Hadith Number: Q4735
وقال ابن عباس: الجبال هدا: هدما.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke aayat mein lafz «al-jibalu haddan» ka matlab yeh hai ke pahar reza reza ho kar gir jayein ge .


Show diacritics
Hadith Number: 4735
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت رجلا قينا، وكان لي على العاص بن وائل دين، فاتيته اتقاضاه، فقال لي: لا اقضيك حتى تكفر بمحمد، قال: قلت: لن اكفر به حتى تموت، ثم تبعث، قال: وإني لمبعوث من بعد الموت، فسوف اقضيك إذا رجعت إلى مال وولد، قال: فنزلت افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} كلا سنكتب ما يقول ونمد له من العذاب مدا {79} ونرثه ما يقول وياتينا فردا {80} سورة مريم آية 77-80".
Hum se Yahya bin Musa Balkhi ne byaan kiya , kaha hum se Waki ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Khabbab bin Aratt ne byaan kiya ke main pehle lohaar tha aur Aas bin Wa'il par mera qarz chahiye tha . Main is ke paas taqaza karne gaya to kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se na phir jao ge tumhara qarz nahi doon ga , main ne kaha ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke deen se hargiz nahi phiroon ga . Yahan tak ke Allah Ta'ala tujhe maar de aur phir zinda kar de . Is ne kaha kya maut ke baad main dobara zinda kiya jaoon ga phir to mujhe maal o aulad bhi mil jayein ge aur isi waqt tumhara qarz bhi ada kar doon ga . Rawi ne byaan kiya ke is ke mutalliq aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan * attala'al ghayba amittakhazha indar-rahmaani ahdan * kalla sanaktubu ma yaqoolu wa namuddu lahu minal azhaabi maddan * wa narisuhu ma yaqoolu wa ya'teena fardan» ke ”bhala tum ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari aayaton ka inkar karta hai aur kehta hai ke mujhe to maal aur aulad mil kar rahein ge , to kya yeh ghaib par aagah ho gaya hai . Ya is ne Khuday-e-Rahman se koi ahad kar liya hai ? Hargiz nahi , albatta hum is ka kaha hua bhi likh lete hain aur is ke liye azab barhate hi chale jayein ge aur is ki kahi hui ke hum hi malik hon ge aur woh hamare paas akela aaye ga .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain