الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة طه:
SURAT TA-HA
Hadith Number: Q4736
قال عكرمة، والضحاك بالنبطية، طه: يا رجل يقال كل ما لم ينطق بحرف او فيه تمتمة او فافاة فهي عقدة، وقال مجاهد: القى صنع، ازري: ظهري، فيسحتكم: يهلككم، المثلى: تانيث الامثل، يقول بدينكم يقال خذ المثلى خذ الامثل، ثم ائتوا صفا، يقال: هل اتيت الصف اليوم يعني المصلى الذي يصلى فيه، فاوجس: في نفسه خوفا، فذهبت الواو من خيفة لكسرة الخاء، في جذوع: اي على جذوع النخل، خطبك: بالك، مساس: مصدر ماسه مساسا، لننسفنه: لنذرينه، قاعا: يعلوه الماء والصفصف المستوي من الارض، وقال مجاهد: اوزارا اثقالا، من زينة القوم: وهي الحلي التي استعاروا من آل فرعون وهي الاثقال، فقذفتها، فالقيتها، القى: صنع، فنسي: موسى هم يقولونه اخطا الرب، لا يرجع إليهم قولا: العجل، همسا: حس الاقدام، حشرتني اعمى: عن حجتي، وقد كنت بصيرا: في الدنيا، قال ابن عباس: بقبس ضلوا الطريق وكانوا شاتين، فقال: إن لم اجد عليها من يهدي الطريق آتكم بنار توقدون، وقال ابن عيينة: امثلهم: اعدلهم طريقة، وقال ابن عباس: هضما: لا يظلم، فيهضم من حسناته، عوجا: واديا، ولا، امتا: رابية، سيرتها: حالتها الاولى، النهى: التقى، ضنكا: الشقاء، هوى: شقي بالوادي، المقدس: المبارك، طوى: اسم الوادي يفرط عقوبة، بملكنا: بامرنا، مكانا سوى: منصف بينهم، يبسا: يابسا، على قدر: موعد، لا تنيا: تضعفا.
Saeed bin Jubayr aur Dahhak bin Muzahim ne kaha Habshi zaban mein lafz «taaha» ke maani Ae mard ke hain . Kehte hain ke jis ki zaban se koi harf na nikal sake ya ruk ruk kar nikle to is ki zaban mein «uqdatun» girah hai . (Musa alaihissalam ki dua «wahlul uqdatam mil-lisani» mein yahi isharah hai) «azree» ke maani meri peeth . «fayus-hitakum» ke maani tum ko halak kar de . Lafz «al-musla» , «al-amsalu» ka muannas hai yani tumhara deen . Arab log kehte hain «musla» achhi baat kare . «khuzhil amsala» yani behtar baat le . «summa'tu saffan» Arab log kehte hain kya aaj tu saff mein gaya tha ? Yani namaz ke maqam mein jahan jama ho kar namaz parhte hain (jaise eidgah waghaira) . «fa-au-jasa» dil mein saham gaya . «kheefatan» asal mein «khaufatan» tha wao ba-sabab kasrah «ma-qabl» yaa ho gaya . «fee juzhu-in-nakhli» khajoor ki shakhon par «fee aliyyin» ke maani mein hai . «khatbuka» yani tera kya haal hai , tu ne yeh kaam kyun kiya . «misaasun» masdar hai . «maasahu» , «misaasan» se yani chhoona . «lanansifannahu» bikher dalein ge yani jala kar raakh ko darya mein baha dein ge . «qaan» woh zameen jis ke oopar pani charh aaye (yani saaf hamwar maidan) . «safsafan» hamwar zameen . Aur Mujahid ne kaha «min zeenatil qaumi» se woh zewar murad hai jo Bani Israeel ne Firaun ki qaum se maang kar liya tha . «fa-qazhaftuha» main ne is ko daal diya . «wa kazhalika alqas-saamariyyu» yani Saamri ne bhi aur Bani Israeel ki tarah apna zewar dala . «fa-nasiya Musa» yani Saamri aur is ke tabedar log kehne lage Musa chook gaya ke apne Parvardigar bichhre ko yahan chhor kar Koh-e-Toor par chala gaya . «la yarji-u ilayhim qaulan» yani yeh nahi dekhte ke bichhra un ki baat ko jawab tak nahi de sakta . «hamsan» paon ki aahat . «hashartani ama» yani mujh ko duniya mein daleel aur hujjat maloom hoti ku yahan tu ne bilkul mujh ko andha kar ke kyun uthaya . Aur Ibn Abbas ne kaha «la'alli aateekum minha bi-qabasin» ke byaan mein ke Musa aur un ke saathi rasta bhool gaye thay idhar sardi mein mubtala thay kehne lage agar wahan koi rasta batane wala mila to behtar warna main thori si aag tumhare taapne ke liye le aaoon ga . Sufyan bin Uyaynah ne (apni tafseer mein) kaha «amsaluhum» yani un mein ka afzal aur samajhdar aadmi . Aur Ibn Abbas ne kaha «hadman» yani is par zulm na ho ga aur is ki naikiyon ka sawab kam na kiya jaave ga . «iwajan» nala khadda . «amtan» teela bulandi . «seeratahal oola» yani agli halat par . «an-nuha» parhezgari ya aqal . «dhankan» bad-bakhti . «hawa» bad-bakht hua . «al-muqaddasu» barkat wali . «tuwan» is wadi ka naam tha . «bi-malkina» (ba-kasrah e meem mashhoor qirat ba-dhumma meem hai baazon ne ba-dhumm meem parha hai) yani apne ikhtiyar apne hukm se . «suwan» yani hum mein aur tum mein barabar ke fasla par . «yabasan» khushk ala qadarin apne muayyan waqt par jo Allah Paak ne likh diya tha . «la taniya» zaeef mat bano , ya susti na karo .