الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {كَلاَّ سَنَكْتُبُ مَا يَقُولُ وَنَمُدُّ لَهُ مِنَ الْعَذَابِ مَدًّا}:
Chapter.“Nay, We shall record what he says, and We shall increase his torment (in the Hell).”(V.19:79)
Show diacritics
Hadith Number: 4734
حدثنا بشر بن خالد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سليمان، سمعت ابا الضحى يحدث، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا في الجاهلية، وكان لي دين على العاص بن وائل، قال: فاتاه يتقاضاه، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقال: والله لا اكفر حتى يميتك الله، ثم يبعثك، قال: فذرني حتى اموت، ثم ابعث، فسوف اوتى مالا وولدا، فاقضيك، فنزلت هذه الآية: افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Sulayman Aamash ne , unhon ne Abu al-Duha se suna , un se Masrooq ne byaan kiya ke Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main zamana e jahiliyat mein lohari ka kaam karta tha aur Aas bin Wa'il par mera kuch qarz tha . Byaan kiya ke main is ke paas apna qarz maangne gaya to woh kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ka inkar nahi karte , tumhari mazdoori nahi mil sakti . Main ne is par jawab diya ke Allah ki qasam! Main hargiz Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka inkar nahi kar sakta , yahan tak ke Allah Ta'ala tujhe maar de aur phir tujhe dobara zinda kar de . Aas kehne laga ke phir marne tak mujh se qarz na maango . Marne ke baad jab main zinda rahoon ga to mujhe maal o aulad bhi milein ge aur is waqt tumhara qarz ada kar doon ga . Is par yeh aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan» al-kh .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain