الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّيَمُّمِ
The Book of Tayammum (Rubbing Hands and Feet with Dust)
بَابُ إِذَا خَافَ الْجُنُبُ عَلَى نَفْسِهِ الْمَرَضَ أَوِ الْمَوْتَ أَوْ خَافَ الْعَطَشَ، تَيَمَّمَ:
Chapter. A Junub can perform Tayammum if he is afraid of disease, death or thirst.
Show diacritics
Hadith Number: Q345
ويذكر ان عمرو بن العاص اجنب في ليلة باردة فتيمم وتلا: ولا تقتلوا انفسكم إن الله كان بكم رحيما سورة النساء آية 29 فذكر للنبي صلى الله عليه وسلم فلم يعنف.
Kaha jata hai ke Amr bin al-Aas Razi Allah Anhu ko ek jade ki raat mein ghusl ki hajat hui. To Aap ne tayammum kar liya aur yeh ayat tilawat ki «wa la taqtulu anfusakum inna Allaha kana bikum rahima» ”Apni jaanon ko halak na karo, beshak Allah Ta’ala tum par bada meherban hai.“ Phir is ka zikr Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hua to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ki koi malamat nahi farmayi. 104681


Show diacritics
Hadith Number: 345
حدثنا بشر بن خالد، قال: حدثنا محمد هو غندر، اخبرنا شعبة، عن سليمان، عن ابي وائل، قال: قال ابو موسى لعبد الله بن مسعود" إذا لم يجد الماء لا يصلي، قال عبد الله: لو رخصت لهم في هذا كان إذا وجد احدهم البرد، قال: هكذا يعني تيمم وصلى"، قال: قلت: فاين قول عمار لعمر؟ قال: إني لم ار عمر قنع بقول عمار.
Hum se Bishr bin Khalid ne bayan kiya, kaha mujh ko Muhammad ne khabar di jo Ghundar ke naam se mashhoor hain, Shuba ke wasita se, woh Sulaiman se naqal karte hain aur woh Abu Wail se ke Abu Musa ne Abdullah bin Masood se kaha ke agar (ghusl ki hajat ho aur) pani na mile to kya namaz na padhi jaye. Abdullah ne farmaya, haan! Agar mujhe ek mahina tak bhi pani na mile to main namaz na padhoon ga. Agar is mein logon ko ijazat de di jaye to sardi maloom kar ke bhi log tayammum se namaz padh lein ge. Abu Musa kehte hain ke main ne kaha ke phir Umar Razi Allah Anhu ke samne Ammar Razi Allah Anhu ke qaul ka kya jawab ho ga. Bole ke mujhe to nahi maloom hai ke Umar Razi Allah Anhu Ammar Razi Allah Anhu ki baat se mutmain ho gaye thay. 104682


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 346
حدثنا عمر بن حفص، قال: حدثنا ابي، قال: حدثنا الاعمش، قال: سمعت شقيق بن سلمة، قال:" كنت عند عبد الله، وابي موسى، فقال له ابو موسى: ارايت يا ابا عبد الرحمن، إذا اجنب فلم يجد ماء كيف يصنع؟ فقال عبد الله: لا يصلي حتى يجد الماء، فقال ابو موسى: فكيف تصنع بقول عمار، حين قال له النبي صلى الله عليه وسلم: كان يكفيك، قال: الم تر عمر لم يقنع بذلك، فقال ابو موسى: فدعنا من قول عمار كيف تصنع بهذه الآية، فما درى عبد الله ما يقول، فقال: إنا لو رخصنا لهم في هذا لاوشك إذا برد على احدهم الماء ان يدعه ويتيمم، فقلت لشقيق: فإنما كره عبد الله لهذا، قال: نعم".
Hum se Umar bin Hafs ne bayan kiya ke kaha hum se mere walid Hafs bin Ghiyath ne, kaha ke hum se Aamash ne bayan kiya, kaha ke main ne Shaqeeq bin Salamah se suna, unhon ne kaha ke main Abdullah (Abdullah bin Masood) aur Abu Musa Ashari ki khidmat mein tha, Abu Musa ne poocha ke Abu Abdur Rahman! Aap ka kya khayal hai ke agar kisi ko ghusl ki hajat ho aur pani na mile to woh kya kare. Abdullah ne farmaya ke use namaz na padhni chahiye. Jab tak use pani na mil jaye. Abu Musa ne kaha ke phir Ammar ki is riwayat ka kya ho ga jab ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se kaha tha ke tumhe sirf (hath aur munh ka tayammum) kafi tha. Ibn Masood Razi Allah Anhuma ne farmaya ke tum Umar Razi Allah Anhu ko nahi dekhte ke woh Ammar ki is baat par mutmain nahi hue thay. Phir Abu Musa ne kaha ke accha Ammar ki baat ko chhodo lekin is ayat ka kya jawab do ge (jis mein janabat mein tayammum karne ki wazih ijazat maujood hai) Abdullah bin Masood Razi Allah Anhuma is ka koi jawab na de sake. Sirf yeh kaha ke agar hum is ki bhi logon ko ijazat de dein to un ka haal yeh ho jaye ga ke agar kisi ko pani thanda maloom hua to use chhod diya kare ga. Aur tayammum kar liya kare ga. (Aamash kehte hain ke) main ne Shaqeeq se kaha ke goya Abdullah ne is wajah se yeh surat napasand ki thi. To unhon ne jawab diya ke haan. 104683


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain