الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التيمم
Kitab: Tayammum ke ahkam o masail
باب إذا خاف الجنب على نفسه المرض أو الموت أو خاف العطش، تيمم:
Bab: Jab junubi ko (ghusl ki wajah se) marz barh jane ka ya maut hone ka ya (pani ke kam hone ki wajah se) pyas ka dar ho to tayammum kar le.
Hadith Number: Q345
ويذكر ان عمرو بن العاص اجنب في ليلة باردة فتيمم وتلا: ولا تقتلوا انفسكم إن الله كان بكم رحيما سورة النساء آية 29 فذكر للنبي صلى الله عليه وسلم فلم يعنف.
Kaha jata hai ke Amr bin al-Aas Razi Allah Anhu ko ek jade ki raat mein ghusl ki hajat hui. To Aap ne tayammum kar liya aur yeh ayat tilawat ki «wa la taqtulu anfusakum inna Allaha kana bikum rahima» ”Apni jaanon ko halak na karo, beshak Allah Ta’ala tum par bada meherban hai.“ Phir is ka zikr Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hua to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ki koi malamat nahi farmayi. 104681
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 345
حدثنا بشر بن خالد، قال: حدثنا محمد هو غندر، اخبرنا شعبة، عن سليمان، عن ابي وائل، قال: قال ابو موسى لعبد الله بن مسعود" إذا لم يجد الماء لا يصلي، قال عبد الله: لو رخصت لهم في هذا كان إذا وجد احدهم البرد، قال: هكذا يعني تيمم وصلى"، قال: قلت: فاين قول عمار لعمر؟ قال: إني لم ار عمر قنع بقول عمار.
Hum se Bishr bin Khalid ne bayan kiya, kaha mujh ko Muhammad ne khabar di jo Ghundar ke naam se mashhoor hain, Shuba ke wasita se, woh Sulaiman se naqal karte hain aur woh Abu Wail se ke Abu Musa ne Abdullah bin Masood se kaha ke agar (ghusl ki hajat ho aur) pani na mile to kya namaz na padhi jaye. Abdullah ne farmaya, haan! Agar mujhe ek mahina tak bhi pani na mile to main namaz na padhoon ga. Agar is mein logon ko ijazat de di jaye to sardi maloom kar ke bhi log tayammum se namaz padh lein ge. Abu Musa kehte hain ke main ne kaha ke phir Umar Razi Allah Anhu ke samne Ammar Razi Allah Anhu ke qaul ka kya jawab ho ga. Bole ke mujhe to nahi maloom hai ke Umar Razi Allah Anhu Ammar Razi Allah Anhu ki baat se mutmain ho gaye thay. 104682
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| عبد الله بن قيس الأشعري، أبو موسى | صحابي | |
| شقيق بن سلمة الأسدي، أبو وائل | مخضرم | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| شعبة بن الحجاج العتكي، أبو بسطام | ثقة حافظ متقن عابد | |
| محمد بن جعفر الهذلي، أبو عبد الله، أبو بكر | ثقة | |
| بشر بن خالد العسكري، أبو محمد | ثقة |