الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {وَيَقُولُ الأَشْهَادُ هَؤُلاَءِ الَّذِينَ كَذَبُوا عَلَى رَبِّهِمْ أَلاَ لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الظَّالِمِينَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“...The witnesses will say, ’These are the ones who lied…’ " (V.11:18)
Hadith Number: Q4685
واحد الاشهاد شاهد مثل صاحب واصحاب.
«al-ash-hadu» , «shahidun» ki jama hai jaise «sahibun» ki jama «as-haabun» hai .
Hadith Number: 4685
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، وهشام، قالا: حدثنا قتادة، عن صفوان بن محرز، قال: بينا ابن عمر يطوف، إذ عرض رجل، فقال: يا ابا عبد الرحمن، او قال: يا ابن عمر، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم في النجوى، فقال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" يدنى المؤمن من ربه"، وقال هشام: يدنو المؤمن حتى يضع عليه كنفه، فيقرره بذنوبه، تعرف ذنب كذا، يقول: اعرف، يقول: رب اعرف، مرتين، فيقول: سترتها في الدنيا، واغفرها لك اليوم، ثم تطوى صحيفة حسناته، واما الآخرون او الكفار، فينادى على رءوس الاشهاد، هؤلاء الذين كذبوا على ربهم، الا لعنة الله على الظالمين سورة هود آية 18، وقال شيبان: عن قتادة، حدثنا صفوان.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha hum se Saeed bin Abi Aroobah aur Hisham bin Abi Abdullah Dastwayi ne byaan kiya , kaha ke hum se Qatadah ne byaan kiya aur un se Safwan bin Muhriz ne ke Ibn Umar razi Allahu anhuma tawaf kar rahe thay ke ek shakhs naam na-maloom Aap ke samne aaya aur poocha: Ae Abu Abdur Rahman! Ya yeh kaha ke Ae Ibn Umar! Kya Aap ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se sargoshi ke mutalliq kuch suna hai (jo Allah Ta'ala Momineen se Qayamat ke din kare ga) . Unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke momin apne Rabb ke qareeb laya jaye ga . Aur Hisham ne «yadnu-lmu'minu» (bajaye «yudna-lmu'minu» kaha) matlab ek hi hai . Yahan tak ke Allah Ta'ala apna ek jaanib is par rakkhe ga aur is ke gunahon ka iqrar karaye ga ke falan gunah tujhe yaad hai ? Banda arz kare ga , yaad hai , mere Rabb! Mujhe yaad hai , do martaba iqrar kare ga . Phir Allah Ta'ala farmaye ga ke main ne duniya mein tumhare gunahon ko chhupaye rakkha aur aaj bhi tumhari maghfirat karoon ga . Phir is ki naikiyon ka daftar lapait diya jaye ga . Lekin doosre log ya (yeh kaha ke) kuffar to un ke mutalliq mahshar mein aalan kiya jaye ga ke yahi woh log hain jinon ne Allah par jhoot baandha tha . Aur Shayban ne byaan kiya , un se Qatadah ne ke hum se Safwan ne byaan kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة