الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ لاَ يَسْتَوِي الْقَاعِدُونَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُجَاهِدُونَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ:
Chapter.“Not equal are those of the believers who sit (at home)...”(V.4:95)
Hadith Number: 4592
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، قال: حدثني سهل بن سعد الساعدي: انه راى مروان بن الحكم في المسجد، فاقبلت حتى جلست إلى جنبه، فاخبرنا ان زيد بن ثابت اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم املى عليه لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 والمجاهدون في سبيل الله سورة النساء آية 95، فجاءه ابن ام مكتوم وهو يملها علي، قال: يا رسول الله، والله لو استطيع الجهاد لجاهدت، وكان اعمى، فانزل الله على رسوله صلى الله عليه وسلم، وفخذه على فخذي فثقلت علي، حتى خفت ان ترض فخذي، ثم سري عنه فانزل الله: غير اولي الضرر سورة النساء آية 95".
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne byaan kiya unhon ne Marwan bin Hakam bin Aas ko masjid mein dekha (byaan kiya ke) phir main un ke paas aaya aur un ke pehlu mein baith gaya , unhon ne mujhe khabar di aur unhein Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne khabar di thi ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne un se yeh aayat likhwayi «la yastawil qaidoona minal momineena wal mujahidoona fee sabilillahi» ”Musalmanon mein se (ghar) baith rehne wale aur Allah ki raah mein apne maal aur apni jaan se jihad karne wale barabar nahi ho sakte .“ Abhi Aap yeh aayat likhwa hi rahe thay ke Ibn Umm Maktoom razi Allahu anhu aa gaye aur arz kiya: Allah ki qasam! Ya Rasool Allah! Agar main jihad mein shirkat kar sakta to yaqeenan jihad karta . Woh andhe thay . Is ke baad Allah ne apne Rasool par wahi utari . Aap ki raan meri raan par thi (shiddat e wahi ki wajah se) is ka mujh par itna bojh para ke mujhe apni raan ke phat jaane ka andesha ho gaya . Aakhir yeh kaifiyat khatam hui aur Allah Ta'ala ne «ghayru ulid-darari» ke alfaz aur nazil kiye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4593
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال: لما نزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم زيدا فكتبها، فجاء ابن ام مكتوم فشكا ضرارته، فانزل الله: غير اولي الضرر سورة النساء آية 95".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne kaha ke jab aayat «la yastawil qaidoona minal momineena» nazil hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ko kitabat ke liye bulaya aur unhon ne woh aayat likh di . Phir Abdullah bin Umm Maktoom razi Allahu anhu hazir huay aur apne nabina hone ka uzr pesh kiya , to Allah Ta'ala ne «ghayru ulid-darari» ke alfaz aur nazil kiye .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4594
حدثنا محمد بن يوسف، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء، قال: لما نزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ادعوا فلانا"، فجاءه ومعه الدواة واللوح او الكتف، فقال:" اكتب لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 والمجاهدون في سبيل الله سورة النساء آية 95"، وخلف النبي صلى الله عليه وسلم ابن ام مكتوم، فقال: يا رسول الله، انا ضرير، فنزلت مكانها لا يستوي القاعدون من المؤمنين غير اولي الضرر والمجاهدون في سبيل الله سورة النساء آية 95.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , un se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab aayat «la yastawil qaidoona minal momineena» nazil hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke falan (yani Zayd bin Sabit razi Allahu anhu) ko bulao . Woh apne saath dawat aur takhti ya shana ki haddi le kar hazir huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya likho «la yastawil qaidoona minal momineena wal mujahidoona fee sabilillahi» . Ibn Umm Maktoom razi Allahu anhu ne jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke peeche maujood thay , arz kiya: ya Rasool Allah! Main nabina hoon . Chunanche wahin is tarah aayat nazil hui «la yastawil qaidoona minal momineena ghayru ulid-darari wal mujahidoona fee sabilillahi» .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4595
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا ابن جريج، اخبرني عبد الكريم، ان مقسما مولى عبد الله بن الحارث اخبره، ان ابن عباس رضي الله عنهما اخبره،" لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، عن بدر، والخارجون إلى بدر".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di , kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di , kaha hum ko Abdul Kareem Jurzi ne khabar di , unhein Abdullah bin Haris ke ghulam Miqsam ne khabar di aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke «la yastawil qaidoona minal momineena» se isharah hai in logon ki taraf jo Badr mein shareek thay aur jinon ne bila kisi uzr ke Badr ki larai mein shirkat nahi ki thi , woh donon barabar nahi ho sakte .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة