الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ}:
Chapter.“O you who believe! Observing As-Saum (the fasting) is prescribed for you as it was prescribed for those before you that you, may become Al-Muttaqun.”(V.2:183)
Hadith Number: 4501
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن عبيد الله , قال: اخبرني نافع , عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال: كان عاشوراء يصومه اهل الجاهلية، فلما نزل رمضان , قال:" من شاء صامه ومن شاء لم يصمه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , un se Obaidullah ne bayan kiya , unhein Nafi ne khabar di aur un se Abdullah bin Umar rz ne bayan kiya ke Ashura ke din jahiliyat mein hum roza rakhte thay lekin jab Ramazan ke roze nazil ho gaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jis ka ji chahe Ashura ka roza rakhe aur jis ka ji chahe na rakhe .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4502
حدثنا عبد الله بن محمد , حدثنا ابن عيينة , عن الزهري، عن عروة , عن عائشة رضي الله عنها: كان عاشوراء يصام قبل رمضان، فلما نزل رمضان , قال:" من شاء صام ومن شاء افطر".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Uyaynah ne byaan kiya , un se Zuhri ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Ashura ka roza Ramzan ke rozon ke hukm se pehle rakkha jata tha . Phir jab Ramzan ke rozon ka hukm nazil hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ka jee chahe Ashura ka roza rakhe aur jis ka jee chahe na rakhe .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4503
حدثني محمود , اخبرنا عبيد الله , عن إسرائيل , عن منصور , عن إبراهيم , عن علقمة , عن عبد الله , قال: دخل عليه الاشعث وهو يطعم , فقال: اليوم عاشوراء , فقال:" كان يصام قبل ان ينزل رمضان، فلما نزل رمضان ترك فادن فكل".
Mujh se Mahmood ne bayan kiya , kaha hum ko Obaidullah ne khabar di , unhein Israel ne , unhein Mansoor ne , unhein Ibrahim ne , unhein Alqama ne aur un se Abdullah rz ne bayan kiya ke Ash'as un ke yahan aaye , woh is waqt khana kha rahe thay , Ash'as ne kaha ke aaj to Ashura ka din hai . Ibn Masood rz ne kaha ke in dinon mein Ashura ka roza Ramazan ke rozon ke nazil hone se pehle rakha jata tha lekin jab Ramazan ke roze ka hukm nazil hua to yeh roza chorr diya gaya . Aao tum bhi khane mein shareek ho jao .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4504
حدثني محمد بن المثنى , حدثنا يحيى , حدثنا هشام , قال: اخبرني ابي , عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان يوم عاشوراء تصومه قريش في الجاهلية، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يصومه، فلما قدم المدينة صامه وامر بصيامه، فلما نزل رمضان كان رمضان الفريضة وترك عاشوراء، فكان من شاء صامه ومن شاء لم يصمه".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Hisham ne byaan kiya , kaha ke mujhe mere walid ne khabar di aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Ashura ke din Quraysh zamana e jahiliyat mein roze rakhte thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi is din roza rakhte thay . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam Madinah tashreef laye to yahan bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is din roza rakkha aur sahabah razi Allahu anhum ko bhi is ke rakhne ka hukm diya , lekin jab Ramzan ke rozon ka hukm nazil hua to Ramzan ke roze farz ho gaye aur Ashura ke roza (ki farziyat) baqi nahi rahi . Ab jis ka jee chahe is din bhi roza rakhe aur jis ka jee chahe na rakhe .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة