الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الْقِصَاصُ فِي الْقَتْلَى الْحُرُّ بِالْحُرِّ} إِلَى قَوْلِهِ: {عَذَابٌ أَلِيمٌ}:
Chapter.“O you who believe! Al-Qisas (the Law of Equality in punishment) is prescribed for you...”(V.2:178)
Show diacritics
Hadith Number: Q4498
{عفي} ترك.
Aur «ufiya» bamaani «turika» hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4498
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان , حدثنا عمرو , قال: سمعت مجاهدا , قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: كان في بني إسرائيل القصاص ولم تكن فيهم الدية , فقال الله تعالى لهذه الامة: كتب عليكم القصاص في القتلى الحر بالحر والعبد بالعبد والانثى بالانثى فمن عفي له من اخيه شيء سورة البقرة آية 178 فالعفو ان يقبل الدية في العمد فاتباع بالمعروف واداء إليه بإحسان سورة البقرة آية 178 يتبع بالمعروف ويؤدي بإحسان ذلك تخفيف من ربكم ورحمة سورة البقرة آية 178 مما كتب على من كان قبلكم فمن اعتدى بعد ذلك فله عذاب اليم سورة البقرة آية 178 قتل بعد قبول الدية".
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Amr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Mujahid se suna , unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke Bani Israeel mein qisas yani badla tha lekin diyat nahi thi . Is liye Allah Ta'ala ne is ummat se kaha ke ”tum par maqtoolon ke baab mein qisas farz kiya gaya , aazad ke badle mein aazad aur ghulam ke badle mein ghulam aur aurat ke badle mein aurat , haan jis kisi ko us ke fareeq e maqtool ki taraf se kuch maafi mil jaye .“ To maafi se murad yahi diyat qabool karna hai . So mutalba maqool aur narm tariqa se ho aur mutalba ko is fareeq ke paas khubi se pahunchaya jaye . Yeh tumhare Parvardigar ki taraf se riayat aur meherbani hai .“ Yani is ke muqabla mein jo tum se pehli ummaton par farz tha . ”So jo koi is ke baad bhi ziyadati kare ga , is ke liye aakhirat mein dard-naak azab ho ga .“ (ziyadati se murad yeh hai ke) diyat bhi le li aur phir is ke baad qatl bhi kar diya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4499
حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري , حدثنا حميد , ان انسا حدثهم , عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" كتاب الله القصاص".
Hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne bayan kiya , kaha hum se Humaidi ne bayan kiya , un se Anas bin Malik rz ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Kitab Allah ka hukm qisas ka hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4500
حدثني عبد الله بن منير , سمع عبد الله بن بكر السهمي , حدثنا حميد , عن انس: ان الربيع عمته، كسرت ثنية جارية، فطلبوا إليها العفو، فابوا فعرضوا الارش، فابوا فاتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم وابوا إلا القصاص، فامر رسول الله صلى الله عليه وسلم بالقصاص، فقال انس بن النضر: يا رسول الله , اتكسر ثنية الربيع لا، والذي بعثك بالحق لا تكسر ثنيتها , فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا انس ,كتاب الله القصاص"، فرضي القوم فعفوا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن من عباد الله من لو اقسم على الله لابره".
Mujh se Abdullah bin Muneer ne byaan kiya , kaha ke main ne Abdullah bin Bakr Sahmi se suna , un se Humayd ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke meri phoopi Rubayyi ne ek larki ke daant torr diye , phir is larki se logon ne maafi ki darkhwast ki lekin is larki ke qabile wale maafi dene ko tayyar nahi huay aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur qisas ke siwa aur kisi cheez par raazi nahi thay . Chunanche Aap salla Allahu alaihi wasallam ne qisas ka hukm de diya . Is par Anas bin Nadr razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Kya Rubayyi razi Allahu anha ke daant torr diye jayein ge , nahi , is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath maboos kiya hai , un ke daant na torey jayein ge . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Anas! Kitab Allah ka hukm qisas ka hi hai . Phir larki wale raazi ho gaye aur unhon ne maaf kar diya . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kuch Allah ke bande aise hain ke agar woh Allah ka naam le kar qasam khayein to Allah un ki qasam poori kar hi deta hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain