الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {يا أيها الذين آمنوا كتب عليكم القصاص فى القتلى الحر بالحر} إلى قوله: {عذاب أليم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! tum par maqtoolon ke bare mein badla lena farz kar diya gaya hai, azaad ke badle mein azaad aur ghulam ke badle mein ghulam”aakhir ayat «azabun aleem» tak.
Show diacritics
Hadith Number: Q4498
{عفي} ترك.
Aur «ufiya» bamaani «turika» hai .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 4498
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان , حدثنا عمرو , قال: سمعت مجاهدا , قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: كان في بني إسرائيل القصاص ولم تكن فيهم الدية , فقال الله تعالى لهذه الامة: كتب عليكم القصاص في القتلى الحر بالحر والعبد بالعبد والانثى بالانثى فمن عفي له من اخيه شيء سورة البقرة آية 178 فالعفو ان يقبل الدية في العمد فاتباع بالمعروف واداء إليه بإحسان سورة البقرة آية 178 يتبع بالمعروف ويؤدي بإحسان ذلك تخفيف من ربكم ورحمة سورة البقرة آية 178 مما كتب على من كان قبلكم فمن اعتدى بعد ذلك فله عذاب اليم سورة البقرة آية 178 قتل بعد قبول الدية".
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Amr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Mujahid se suna , unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke Bani Israeel mein qisas yani badla tha lekin diyat nahi thi . Is liye Allah Ta'ala ne is ummat se kaha ke ”tum par maqtoolon ke baab mein qisas farz kiya gaya , aazad ke badle mein aazad aur ghulam ke badle mein ghulam aur aurat ke badle mein aurat , haan jis kisi ko us ke fareeq e maqtool ki taraf se kuch maafi mil jaye .“ To maafi se murad yahi diyat qabool karna hai . So mutalba maqool aur narm tariqa se ho aur mutalba ko is fareeq ke paas khubi se pahunchaya jaye . Yeh tumhare Parvardigar ki taraf se riayat aur meherbani hai .“ Yani is ke muqabla mein jo tum se pehli ummaton par farz tha . ”So jo koi is ke baad bhi ziyadati kare ga , is ke liye aakhirat mein dard-naak azab ho ga .“ (ziyadati se murad yeh hai ke) diyat bhi le li aur phir is ke baad qatl bhi kar diya .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
مجاهد بن جبر القرشي، أبو محمد، أبو الحجاجثقة إمام في التفسير والعلم
عمرو بن دينار الجمحي، أبو محمدثقة ثبت
سفيان الثوري، أبو عبد اللهثقة حافظ فقيه إمام حجة وربما دلس
الحميدي عبد الله بن الزبير، أبو بكرثقة حافظ أجل أصحاب ابن عيينة