الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَغَازِي
The Book of Al- Maghazi
بَابُ سَرِيَّةُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ حُذَافَةَ السَّهْمِيِّ وَعَلْقَمَةَ بْنِ مُجَزِّزٍ الْمُدْلِجِيِّ:
Chapter. The Sariya of Abdullah bin Hudhafa As-Sahmi and Alqama bin Majazziz Al-Mudliji, and it is said that it was called the Sariya of the Ansar.
Show diacritics
Hadith Number: 4340
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، قال: حدثني سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية، فاستعمل رجلا من الانصار وامرهم ان يطيعوه، فغضب، فقال: اليس امركم النبي صلى الله عليه وسلم ان تطيعوني؟ قالوا: بلى، قال: فاجمعوا لي حطبا، فجمعوا، فقال: اوقدوا نارا، فاوقدوها، فقال: ادخلوها، فهموا، وجعل بعضهم يمسك بعضا، ويقولون: فررنا إلى النبي صلى الله عليه وسلم من النار، فما زالوا حتى خمدت النار، فسكن غضبه، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:"لو دخلوها ما خرجوا منها إلى يوم القيامة، الطاعة في المعروف".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , kaha mujh se Saad bin Ubaydah ne byaan kiya , un se Abu Abdur Rahman Aslami ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek mukhtasar lashkar rawana kiya aur is ka ameer ek Ansari sahabi (Abdullah bin Huzafah Sahmi razi Allahu anhu) ko banaya aur lashkariyon ko hukm diya ke sab apne ameer ki itaat karein phir ameer kisi wajah se ghussa ho gaye aur apne faujiyon se poocha ke kya tumhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne meri itaat karne ka hukm nahi farmaya hai ? Sab ne kaha ke haan farmaya hai . Unhon ne kaha phir tum sab lakriyan jama karo . Unhon ne lakriyan jama kien to ameer ne hukm diya ke is mein aag lagao aur unhon ne aag laga di . Ab unhon ne hukm diya ke sab is mein kood jao . Fauji kood jana hi chahte thay ke unhein mein se baaz ne baaz ko roka aur kaha ke hum to is aag hi ke khauf se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki taraf aaye hain! In baaton mein waqt guzar gaya aur aag bhi bujh gayi . Is ke baad ameer ka ghussa thanda ho gaya . Jab is ki khabar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko pahunchi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar yeh log is mein kood jate to phir qayamat tak is mein se na nikalte . Itaat ka hukm sirf naik kaamon ke liye hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain