الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَغَازِي
The Book of Al- Maghazi
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 4006
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن عدي، عن عبد الله بن يزيد، سمع ابا مسعود البدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" نفقة الرجل على اهله صدقة".
Hum se Muslim Bin Ibrahim Qassab ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Adi Bin Aban, un se Abdullah Bin Yezid Ansari, unhon ne Abu Masood Badri Radi Allahu Anhu Uqbah Bin Amr Ansari se suna ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”insan ka apne baal bacchon par kharch karna bhi bais-e-sawab hai.“
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4007
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، سمعت عروة بن الزبير , يحدث عمر بن عبد العزيز في إمارته , اخر المغيرة بن شعبة العصر , وهو امير الكوفة فدخل عليه ابو مسعود عقبة بن عمرو الانصاري جد زيد بن حسن شهد بدرا، فقال: لقد علمت نزل جبريل فصلى , فصلى رسول الله صلى الله عليه وسلم خمس صلوات، ثم قال:" هكذا امرت" , كذلك كان بشير بن ابي مسعود يحدث عن ابيه.s
Hum se Abu-ul-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri, unhon ne Urwah Bin Zubair se suna ke Ameer-ul-Momineen Umar Bin Abdul Aziz se unhon ne in ke ahad-e-khilafat mein ye hadees bayan ki ke Mugheerah Bin Shuba Radi Allahu Anhu jab Kufa ke ameer thay, to unhon ne ek din Asr ki namaz mein dair ki. Is par Zaid Bin Hasan ke nana Abu Masood Uqbah Bin Amr Ansari Radi Allahu Anhu in ke yahan gaye. Wo Badr ki larai mein shareek hone wale Sahaba mein se thay aur kaha: Aap ko maloom hai ke Jibrail Alaihis Salam (namaz ka tariqa batane ke liye) aaye aur aap ne namaz parhi aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne in ke peeche namaz parhi, paanchon waqt ki namazein. Phir farmaya ke isi tarah mujhe hukm mila hai. Bashir Bin Abi Masood bhi ye hadees apne walid se bayan karte thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4008
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن بن يزيد، عن علقمة، عن ابي مسعود البدري رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الآيتان من آخر سورة البقرة من قراهما في ليلة كفتاه" , قال عبد الرحمن فلقيت ابا مسعود وهو يطوف بالبيت فسالته فحدثنيه.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, hum se Abu Awana ne bayan kiya, un se Amash, un se Ibrahim Nakhi, un se Abdur Rahman Bin Yezid Nakhi, un se Alqamah Bin Yas'i aur un se Abu Masood Badri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Surah-al-Baqarah ki do aayatein ( «Aamanar-rasoolu» se aakhir tak) aaisi hain ke jo shakhs raat mein unhein parh le wo is ke liye kafi ho jati hain. Abdur Rahman ne bayan kiya ke phir mein ne khud Abu Masood Radi Allahu Anhu se mulaqat ki, wo is waqt Baitullah ka tawaf kar rahe thay. Mein ne un se is hadees ke mutaliq poocha to unhon ne ye hadees mujh se bayan ki
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4009
حدثنا يحيى بن بكير , حدثنا الليث , عن عقيل , عن ابن شهاب , اخبرني محمود بن الربيع , ان عتبان بن مالك وكان من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم ممن شهد بدرا من الانصار انه اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Lais Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel, un se Ibn Shihab, unhein Mahmud Bin Rubai ne khabar di ke Utban Bin Malik Radi Allahu Anhu jo Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahabi thay aur wo Badr mein shareek hue thay aur Ansar mein se thay, Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4010
حدثنا احمد هو ابن صالح، حدثنا عنبسة، حدثنا يونس،قال ابن شهاب: ثم سالت الحصين بن محمد وهو احد بني سالم وهو من سراتهم، عن حديث محمود بن الربيع، عن عتبان بن مالك فصدقه.
Hum se Ahmad ne bayan kiya jo Salih ke bete hain, kaha hum se Anbasah Ibn Khalid ne bayan kiya, un se Yunus Bin Yezid ne bayan kiya aur un se Ibn Shihab ne bayan kiya ke phir mein ne Husain Bin Muhammad Ansari se jo Bani Salim ke shareef logon mein se thay, Mahmud Bin Rubai ki hadees ke mutaliq poocha jis ki riwayat unhon ne Utban Bin Malik Radi Allahu Anhu se ki thi to unhon ne bhi is ki tasdeeq ki
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4011
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عبد الله بن عامر بن ربيعة، وكان من اكبر بني عدي وكان ابوه شهد بدرا مع النبي صلى الله عليه وسلم، ان عمر استعمل قدامة بن مظعون على البحرين وكان شهد بدرا وهو خال عبد الله بن عمر , وحفصة رضي الله عنهم.
Hum se Abu-ul-Yaman ne bayan kiya, kaha humein Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abdullah Bin عامر Bin Rabeeah Radi Allahu Anhu ne khabar di, wo qabila Bani Adi ke sab logon mein bare thay aur in ke walid عامر Bin Rabeeah Badr mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath shareek thay. (Unhon ne bayan kiya ke) Umar Radi Allahu Anhu ne Qudamah Bin Maz'oon Radi Allahu Anhu ko Bahrain ka aamil banaya tha, wo Qudamah Radi Allahu Anhu bhi Badr ke ma'reke mein shareek thay aur Abdullah Bin Umar aur Hafsa Radi Allahu Anhum ke mamoon thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4012
حدثنا عبد الله بن محمد بن اسماء، حدثنا جويرية، عن مالك، عن الزهري، ان سالم بن عبد الله اخبره، قال: اخبر رافع بن خديج عبد الله بن عمر، ان عميه وكانا شهدا بدرا اخبراه ," ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن كراء المزارع" , قلت لسالم فتكريها انت، قال: نعم إن رافعا اكثر على نفسه".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Bin Asma ne bayan kiya, kaha hum se Juwayriyah Bin Asma ne bayan kiya, un se Imam Malik Rahimahullah, un se Zuhri, unhein Salim Bin Abdullah ne khabar di, bayan kiya ke Rafi Bin Khadeej Radi Allahu Anhu ne Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ko khabar di ke in ke do chachaon (Zuhair aur Mazhar Rafi Bin Adi Bin Zaid Ansari ke beton) jinhon ne Badr ki larai mein shirkat ki thi, ne unhein khabar di ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne zameen ko kiraya par dene se mana kiya tha. Mein ne Salim se kaha lekin aap to kiraya par dete hain. Unhon ne kaha ke haan, Rafi Radi Allahu Anhu ne apne upar zyada-ti ki thi
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4013
حدثنا عبد الله بن محمد بن اسماء، حدثنا جويرية، عن مالك، عن الزهري، ان سالم بن عبد الله اخبره، قال: اخبر رافع بن خديج عبد الله بن عمر، ان عميه وكانا شهدا بدرا اخبراه ," ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن كراء المزارع" , قلت لسالم فتكريها انت، قال: نعم إن رافعا اكثر على نفسه".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Bin Asma ne bayan kiya, kaha hum se Juwayriyah Bin Asma ne bayan kiya, un se Imam Malik Rahimahullah, un se Zuhri, unhein Salim Bin Abdullah ne khabar di, bayan kiya ke Rafi Bin Khadeej Radi Allahu Anhu ne Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ko khabar di ke in ke do chachaon (Zuhair aur Mazhar Rafi Bin Adi Bin Zaid Ansari ke beton) jinhon ne Badr ki larai mein shirkat ki thi, ne unhein khabar di ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne zameen ko kiraya par dene se mana kiya tha. Mein ne Salim se kaha lekin aap to kiraya par dete hain. Unhon ne kaha ke haan, Rafi Radi Allahu Anhu ne apne upar zyada-ti ki thi
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4014
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن حصين بن عبد الرحمن، قال: سمعت عبد الله بن شداد بن الهاد الليثي، قال:" رايت رفاعة بن رافع الانصاري وكان شهد بدرا".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Husain Bin Abdur Rahman, unhon ne Abdullah Bin Shaddad Bin Haad Laisi se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Rifa'ah Bin Rafi Ansari Radi Allahu Anhu ko dekha hai. Wo Badr ki larai mein shareek hue thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4015
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر , ويونس , عن الزهري، عن عروة بن الزبير، انه اخبره , ان المسور بن مخرمة اخبره, ان عمرو بن عوف وهو حليف لبني عامر بن لؤي، وكان شهد بدرا مع النبي صلى الله عليه وسلم , ان رسول الله صلى الله عليه وسلم بعث ابا عبيدة بن الجراح إلى البحرين ياتي بجزيتها، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم هو صالح اهل البحرين، وامر عليهم العلاء بن الحضرمي , فقدم ابو عبيدة بمال من البحرين فسمعت الانصار بقدوم ابي عبيدة، فوافوا صلاة الفجر مع النبي صلى الله عليه وسلم , فلما انصرف تعرضوا له , فتبسم رسول الله صلى الله عليه وسلم حين رآهم، ثم قال:" اظنكم سمعتم ان ابا عبيدة قدم بشيء"، قالوا: اجل يا رسول الله، قال:" فابشروا واملوا ما يسركم , فوالله ما الفقر اخشى عليكم ولكني اخشى ان تبسط عليكم الدنيا كما بسطت على من كان قبلكم , فتنافسوها كما تنافسوها وتهلككم كما اهلكتهم".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak Marwazi ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar aur Yunus dono ne khabar di, unhein Zuhri, unhein Urwah Bin Zubair ne khabar di, unhein Miswar Bin Makhramah Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Amr Bin Auf Radi Allahu Anhu jo Bani عامر Bin Luayyy ke haleef thay aur Badr ki larai mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath shareek thay. (Ne bayan kiya ke) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Abu Ubaidah Bin Jarrah Radi Allahu Anhu ko Bahrain, wahan ka jiziya lane ke liye bheja. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Bahrain walon se sulah ki thi aur un par Ala Bin Hazrami Radi Allahu Anhu ko ameer banaya tha, phir Abu Ubaidah Radi Allahu Anhu Bahrain se mal ek lakh dirham le kar aaye. Jab Ansar ko Abu Ubaidah Radi Allahu Anhu ke aane ki khabar hui to unhon ne Fajr ki namaz Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath parhi. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam jab namaz se farigh hue to tamam Ansar aap ke samne aaye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unhein dekh kar muskuraye aur farmaya: Mera khayal hai ke tumhein ye ittila mil gayi hai ke Abu Ubaidah mal le kar aaye hain. Unhon ne arz kiya: Ji haan, ya Rasul Allah! Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke phir tumhein khushkhabri ho aur jis se tumhein khushi ho gi is ki umeed rakkho. Allah ki qasam! Mujhe tumhare mutaliq muhtaji se darr nahi lagta, mujhe to is ka khauf hai ke duniya tum par bhi isi tarah kushadah kar di jaye gi jis tarah tum se pehlon par kushadah ki gayi thi, phir pehlon ki tarah is ke liye tum aapas mein rashk karo ge aur jis tarah wo halak ho gaye thay tumhein bhi ye cheez halak kar ke rahe gi
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain